Sawaal az : .....
Salamun alaikum wrahematullahe wbarkatuh
Mera sawaal hai ki pichhle saal ke kuchh roze chhut gaye the uske liye hame Kya karna hoga
Please aap bata de bohot meherbani hogi
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar bimaari ki wajah se roze nahi rakhe aur ous bimaari ka silsila dusre maahe ramzaan tak raha to jo roze chhute hain oun ki qaza rakhna waajib nahi hai sirf har roze ke badle taqriban 750 gr ta'aam faqir ko sadqa den
lekin agar dono maahe ramzaan ke darmeyaan qaza roze rakh sakte the ous ke baad bhi nahi rakhe to qaza rakhen aur ba'unwaane kaffaarae taakhir har roze ke badle taqriban 750 gr ta'aam faqir ko sadqa den
aur agar kisi dusri majburi ki wajah se roze nahi rakhe aur dusre maahe ramzaan tak amadan qaza bhi nahi rakhe to is maahe ramzaan ke baad qaza rakhen aur har roze ke badle taqriban 750 gr ta'aam bhi faqir ko sadqa den
Note :
- ta'aam se moraad chaawal, gandum, aata, roti, jaw, khurma aur is ke maanind jaiyse macaroni waghairah hain
- faqir se moraad bhik maangne waale nahi hain balke wo momin hai jo maali mushkelaat me is tarah ho ke saal bhar apna aur ahlo ayaal ka kharch chalaane ke liae kuchh na ho
- tafsil ke liae tauzihul masaa'ael me qaza rozon ke ahkaam dekh len
Aayatullah Sistani ke nazdik taqriban 750 gr gosht aur aalu (آلو) bhi de sakte hain
lehaaza momkin hai koei kaam karta ho aur faqir bhi ho
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
29 / شعبان / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment