Salamunalaikum Maulana
Sab khairiyat
Allah aap ko jazae khair de
Elahi Ameen.
Mera ek friend hai joh Ahle sunnat se hai. Woh kehta hai ki agar 14 Masoomeen ko Maana hai Bola gaya hai to phir 14 ke naam Quran Sharif mein kyun nahi hai. Woh kehta ke inko manna hai woh bakaida Quran Sharif mein hona chahiye. Please Zara tafseel mein bataye. Jazakallah.
*Jawaab :*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمدلله
sab se pahle ye arz kardun ke 14 maasumin me rasule geraami (صلوات الله عليهم) ki zaate mobaarakah bhi hai. aap ka naam qur'aan karim me hai our aap ki dokhtar janaabe saiyedah (سلام الله عليها) ka naam saraahat ke saath qur'aan me nahi hai lekin mota'addid aayaten aap ki shaan me naazil huei hain jaiyse aayate tathir wa mobaahala waghiyrah waghiyrah
our rasule geraami ki beshumaar hadisen bhi hain jis me aap ki azmat waghiyrah ke baare me bayaan kiya hai
*(in baaton ka zikr ahl-e- sunnat ki motabar ketaabon me hai)*
*zeyadah tar jo aeteraaz hota hai our shak o shubha paiyda kiya jaata hai wo 12 imamon ke baare me hai lehaaza is ke peshe nazar jawaab molaaheza farmaayen :*
*1)* apne dost se sawaal karen 124 hazaar nabi hain lekin in me se sirf 26 nabi ka naam qur'aan me hai phir baqi ko keyon maante hain ?
*2)* qur'aan me sirf namaaz ka zikr hai tariqe wa rak'aat ka nahi phir subh ki 2 rak'aat , maghrib ki 3 rak'aat our zohr , asr , wa aesha ki 4 rak'aat keyon padhte hain ?
*3)* qur'aan me haath baandh kar namaz padhne ka zikr nahi hai phir haath baandh kar keyon padhte hain ?
*4)* qur'aan me roze , haj our zakaat waghiyrah ka zikr hai tafsilaat wa aahkaam ka nahi , phir in ke aahkaam wa tafsilaat ko keyon maante hain ?
*5)* aadhe se zeyadah dini wa mazhabi baaton ka zikr qur'aan me nahi hai phir in ko keyon maante hain ?
*6) qur'aan hakim me kul'liya yani aam qaayede wa qaanun ka zikr hai in ki tashrih , tafsir our tafsil ko bayan karna rasule akram (صلى الله عليه و آله) ke zimme hai , masalan qur'aan me sirf likha hai namaaz qaaem karo tariqe ka zikr nahi*
*tariqa , rak'aat our dusre aahkaam ko ham ne rasule khoda (صلى الله عليه و آله) se liya*
*7)* qur'aan me in hazaraat ka naam nahi hai lekin bht saari aayaten aiysi hain jo ali our aahl-e- bait-e- rasul (صلوات الله عليهم) ki shaan me naazil huiy hain our in se moraad ahl-e- bait-e- rasul hain
is ka zikr beraadaraane ahl-e- sunnat ki motabar ketaabon me hai jaiyse surahe maaedah ki aayat 55 ali (عليه السلام) ki shaan me nazil huiy ya aayaate tathir wa mobaahala waghiyrah ahl-e- bait-e- rsul ki shaan me naazil huein
(agar in ka havaala chaahiye to baad me irsaal kardiya jaaega jawaab tulaani hone ki vajah se havaalon ko nazar andaaz kar raha hun)
*8)* batoure sarih 12 imamo ke naam qur'aan me nahi hain , lekin namaaz ki rak'aat waghairah ki tarah rasul-e- khoda ( صلی الله علیه وآله ) ne saraahat ke saath inke baare me bataya hai , 12 imamo ke ta'allua se beraadaraan-e- ahl-e- sunnat ki motabar ketaabon me 3 tarah ki rewaayaten milti hain
baaz me rasul-e- akram ( صلی الله علیه وآله ) ne kaha *" mere baad 12 khalifa hain "* our baaz me kaha *" 12 Amir hain "* our baaz me kaha *" 12 A'eimma hain "* our ye sabhi qoraish wa bani haashim se hain ( in rewaayaton me qoraish wa bani haashim se moraad ahl-e- bait-e- rasul hain )
beraadaraan-e- ahl-e- sunnat ki sirf chand ketaabon ka hawaala peshe khidmat hai :
*1-* sahih muslim , jild 12 - ketaabul Amaarah - p 201 ... / matbua darul fikr
*2-* sonan attermizi , jild 4 - ketaabul fetan - p 434 ... / matbua darul fikr
*3-* kanzul oummaal , jild 12 - baab qoraish - p 24 ...
hadis No 33803 wa 33812 / matbua arresaalah
*4-* yanaabioul mawaddah , jild 3 - baab A'eimma isna ashar
*isi ketaab ke isi baab our dusri ketaabon me 12 imamon ka zikr naam ba naam hai , pahle hazrat Ali ( علیه السلام ) hain our aakeri qaaemul mahdi*
*9-* in ke aelaawah bhi be shumaar motabar hadisen hain jo Ali wa ahl-e- bait-e- rasul ( صلوات الله علیهم ) ke baare me hain , inka zikr bhi ahl-e- sunnat ki motabar ketaabon me hai , jaiyse hadise ghadir , hadise manzelat ( ay Ali tumhaare liye mere nazdik wahi manzelat wa nisbat hai jo haarun ko musa se thi sewaa iske ke mere baad koiy nabi nahi hai ) , hadise saqalain , hadise safina ( tumhaare darmeyaan mere ahl-e- bait ki misaal kashtiye nuh jaiysi hai jo bhi is par sawaar hua najaat pa gaya our jis ne is se ru gardaani ki wo gharq wa halaak ho gaya )
*10-* qur'aan ko tahrif se bachana tha lehaaza khoda ne 12 imamon ke naam ka zikr nahi kiya , agar naamon ka zikr hota to ahl-e- bait-e- rasul ( صلوات الله علیهم ) ke dushman oun aayaton ko qur'aan se nikaal dete ya ous ke moshaabeh apno ke liye qur'aan me daakhil kardete , hadis me ye kaam hua hai our ho raha hai
*naamon ke zikr se aekhtelaaf kam nahi hota balke our badh jaata , qur'aan wa din khatre me bhi pad jaata*
*jo bayaan kiya gaya is ke ba wojud agar koiy 14 masumin ( صلوات الله علیهم ) ko na maane to afsos ke aelawah kuch nahi kiya jaa sakta*
والسلام
syed shamshad ali katokhari khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawalaat Qum / Iran
28 / شعبان / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel
Monday, May 21, 2018
Mera ek friend hai joh Ahle sunnat se hai. Woh kehta hai ki agar 14 Masoomeen ko Maana hai Bola gaya hai to phir 14 ke naam Quran Sharif mein kyun nahi hai. Woh kehta ke inko manna hai woh bakaida Quran Sharif mein hona chahiye. Please Zara tafseel mein bataye.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment