Asalam alaikum
Umeed hai aap khariyat se honge
jinab mehar ko waqt par ada kar ne ki kya ehmiyat hai, yani kya dakhool se pehle is ko ada karna zaroori hai. Kuch log jo sirf moayin mehar ko kagaz par likh kar rakhte hain aur ada nahein karte hain kya woh shariyat ke mutabiq sahi karte hain
Aap ka mamnoon
gulzar ahmad
*Jawaab :*
باسمه تعالى
عليكم السلام ورحمةالله وبركاته
الحمدلله
dokhul ke pahle ada karna zaruri nahi hai lekin agar aqde nikaah me indalmotaaleba (عند المطالبه) wa indalistetaa'at (عندالاستطاعة) ki shart nahi hai to aqd ka segha jaari hone ke baad our nazdiki ke pahle bivi tamaam mahar ko talab karne ka haq rkhti hai ye bivi ka maali haq hai lehaaza ada karna shawhar par waajib hai. jabtak ada nahi karega bivi ka qarzdaar rahega.
qarz jetni jaldi ada kiya jaaye behtar hai magar ye ke bivi ko raazi karle ya khud bakhsh de
*Note :*
*1) indalmotaaleba :*
yani jab bivi mahar mange to ous waqt ada kiya jaae
*2) indalistetaa'at :*
yani maali lehaaz se mahar dene ki qudrat wa salaahiyat hojaae tab ada karega
*(dono sharton ke hawaale se bahas tafsili hai)*
*3)* (khoda na kare) agar dokhul ke pahle talaaq de to moqar'rar shudah mahar ka aadha awrat ko dena mard ke zim'me hai lekin dokhul ke baad mokam'mal hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum /iran
25 / شعبان / 1439ھ.ق
*sawaal :*
Asalam alaikum
woh shakhs jis ki mali hasiyat theek ho mehar ko faqat moyin kare ada na kare' aur us ki niyat yeh ho ki baad main' main apni bivi ko is baat pe razi kar loonga ki aap mujhe bakhsh de' kya aisa karna shar'ie etibaar se sahi hai.
Aap ka mamnoon
Gulzar Ahmad
*jawaab :*
عليكم السلام و رحمةالله
*daaemi aqde nikaah me mahar rukn ( رکن ) nahi hai lehaaza agar mahar tay (معین) na karen ya ada karne ka qasd wa aeraada na ho tab bhi aqd sahi hai baatil nahi hai*
ada na karne ki sirf niyat shr'an gunaah nahi hai masalan qarzdaar qarz na dene ki niyat kare ya chor chori ki niyat kare to ye ous waqt tak gunaah nahi hai jabtak amali jaama na pahnaae
*albatta baateni khabaasat wa sharaarat zrur hai*
*Note :*
waqti aqd me mahar tay karna zaruri wa shart hai is ke beghair aqd baatil hai
والسلام
25 / شعبان / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel
Monday, May 21, 2018
jinab mehar ko waqt par ada kar ne ki kya ehmiyat hai, yani kya dakhool se pehle is ko ada karna zaroori hai. Kuch log jo sirf moayin mehar ko kagaz par likh kar rakhte hain aur ada nahein karte hain kya woh shariyat ke mutabiq sahi karte hain
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment