Do talbe ilm hai donu ki digri ek hi hai aur donu ka subject bhi ek hi hai donu talbe ilmoon main se kam numbraat wala talbe ilm zyada numbraat wale talbi ke kagzaat dokhe se apni mulazmat ke liye pesh(submit) karta hai aur us ko mulazmat miljati hai kya us ko milne wali tankha us par halaal hai. - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, May 21, 2018

Do talbe ilm hai donu ki digri ek hi hai aur donu ka subject bhi ek hi hai donu talbe ilmoon main se kam numbraat wala talbe ilm zyada numbraat wale talbi ke kagzaat dokhe se apni mulazmat ke liye pesh(submit) karta hai aur us ko mulazmat miljati hai kya us ko milne wali tankha us par halaal hai.

Asalam alaikum

Umeed hai ki Aap khairiyat se honge

Jinab hamare sawal shayad kable jawab hi nahein hote hain is liye nazar andaaz kiye jate hain.

Jinab Aap jawab de ya na de hum sawal is umeed ke saath likhte jayen ge ki kabhi na kabhi jawab zaroor Aaye ga.

Aaj ka sawal yeh hai.
Do talbe ilm hai donu ki digri ek hi hai aur donu ka subject bhi ek hi hai donu talbe ilmoon main se kam numbraat wala talbe ilm zyada numbraat wale talbi ke kagzaat dokhe se apni mulazmat ke liye pesh(submit) karta hai aur us ko mulazmat miljati hai kya us ko milne wali tankha us par halaal hai.
Umeed hai jawab jaldi diya jaye ga.

Aap ka mamnoon
gulzar ahmad

*Jawaab :*

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام ورحمةالله و بركاته

                             الحمدلله

dusre ki Degree ko apne naam karna ya jhuti (جھوٹی) dastaavezaat taiyar karna haraam hai lehaaza tuoba kare

*albatta jo molaazemat mili hai wo halaal hai yani haraam kaam nahi hai our is me is kaam ki qaabeliyat , ahliyat our mahaarat paaei jaarahi hai our ache tariqe se apni zimmedaari our kaam ko anjaam bhi de raha hai to tankhah lena halaal hai*

(beraadare mohtaram wa aziz aap ke saare sawaalaat ke jawaabaat diye gay hain kisi sawaal ko nazar andaaz nahi kiya jaata
taakhir ki mokhtalif vajhen hain oun me se aek ye hai ke aap se pahle jo sawaal huwa hai  ya jaldi jawaab dena zaruri hai to pahle aiyse sawaal ka jawaab dene ki koshish ki jaati hai
bahar haal taakhir ke ta'alluq se maazerat.
momenin ki khidmat mere liye sa'aadat our bht badi taufiq hai)

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad /patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

27 / شعبان / 1439ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen