Roze ki haalat me agar naa'paak ho jaa'ae to keya fauran ghusl karna zaruri hai ? aur musht zani (استمنا) se roza baatil hone wa kaffaarah ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, May 21, 2018

Roze ki haalat me agar naa'paak ho jaa'ae to keya fauran ghusl karna zaruri hai ? aur musht zani (استمنا) se roza baatil hone wa kaffaarah ka hukm

Sawaal az : .....


Salamun alaikum wrwb


Sawal
Agar koi roze se hai roze ki haalat me uski mani (sperm) nikal jata hai to keya roza baatil ho jayega ?


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


agar koei shakhs namaaze subh ke baad mohtalim ho yaani khaab me naa'paak ho jaa'ae aur ghorube aaftaab tak ghusl na kare to roza baatil nahi hai sahi hai fauran ghusl karna zaruri nahi hai, albatta namaaz ke liae zarur kare


lekin agar roze ki haalat me istimna (استمنا) kare to roza baatil hai
Rahbare inqelaab aur Aayatullah Sistaani ke nazdik is ki qaza rakhe aur kaffaara bhi de yaani sharaa'aet ke motaabiq 60 roze rakhe ya 60 faqir ko ta'aam de is ki 2 surat hai :


  1. 60 faqir ko ser kare (bhar pet khaana khilaa'ae)

  2. ya har aek ko taqriban 750 gr ta'aam yaani gandum yaa roti waghairah de
    albatta dono maraaje ke nazdik benaabar aehteyaate mustahab kul wa tamaam kaffaare de yaani qaza ke aelaawah 60 roze rakhe aur 60 faqir ko ta'aam bhi de

(baaqi tafsilaat tauzihul masaa'ael me dekh len)


Note :


istimna ye hai ke mard yaa aurat jema (جماع) ke aelaawah aiysa kaam karen jis se mani nikal jaa'ae


mardon ke liae mani nikalne ko samajhna aasaan hai lekin auraten is ko kaiyse maalum karen ?


jab jinsi lazzat wa shahwat inteha (orgasm) par pahunch jaa'ae to ye auraton ke liae mani ka hukm rakhti hai


والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran


2 / رمضان المبارک / 1439ھ.ق

Subscribe us on youtube

8 comments:

  1. Salam alekum
    Qibla mera sawal ye hai ki jab Rasool e Khuda saww ne aakhri waqt kaha tha ki laao kagaz or kalam do me tumhe likh ke de deta hun tab us waqt umar bin khattab ne kaha tha hame quran qafi hai or nauzobillah Rasool Allah saww ko hizyaan ho gaya hai to mujhe Hizyan wali riwayat ahle sunnat ki motabar kitabo se chahiye kya aap refrance de sakte han
    Mai ayatullah syed ali al hussaini al sistani sahab ka muqallid hun
    Wassalam

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap Hamare youtu.be channel pe jaa ke "sabse zayada resaalat ki tauheen kisne ki" ye video series ko dekh len

      Delete
  2. Bhai plz mujhe bolo Mai nai aaj mishtAni kiya to Ka Karu ab touba kar sakhta hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap apna sawaal comment me na kar ke "menu" me "sawaal karen" option me jaa ke ya to contact form use kar ke sawaal kare ya whatsapp pe kare

      Delete
  3. Roze ki halat me ehatlam ho jaye to kya roza toot jata hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. سلام علیکم
      Aap se guzaarish hai ke apna sawaal contact form ya menu me "sawaal kare" option se bheje

      Delete
  4. Aslam o alaikum agar rozy ki halat me kuch zehen me galat khayalat any se mazi kharij hojaye to kya roza batil he?

    ReplyDelete
    Replies
    1. علیکم السلام
      aap se guzaarish hai ke sawaal site ke "Menu" me jaa ke "sawaal karen" option se sawaal karen.

      Delete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen