Sawaal az : .....
Salamun alaikum huzur
sawal
kya ya ali madadd kahna salam ki jagah par salam ka jaiguzeen hosakta hai ?
Jawaab :
باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
aayaat wa rewaayaat me musalmaano aur apne aap par salaam karne ki bahot taakid ki gaei hai, ye mustahab wa taakid shuda sunnat hai, is ke dunyaawi wa oukhrawi faa'aede hain, salaam karne se aek dusre ke darmeyaan dosti wa oulfat badhti hai, kadurat dur hoti hai aur baa'aese ajro sawaab bhi hai
Salaamun Alaiykum (سلام علیکم) doaa'eiya kalema hai, is ka matlab hai "Tum par salaamti ho" is ka rabt tarafain se hai, yaani aek salaam karta hai aur dusra jawaab deta hai
Yaa Ali kahna tawas'sul wa isteghaasa hai, mahbube khoda wa mahbube rasul se madad wa shefaa'at talab karte hain
dono ke matlab me farq hai, dono aek nahi hain, "Salaamun Alaiykum" ki jagah "Yaa Ali madad" nahi le sakta aur "Yaa Ali madad" ki jagah "Salaamun Alaiykum" nahi le sakta
lehaaza "Yaa Ali madad" ki jagah "Yaa Ali madad" hi kahen aur "Salaam" ki jagah "Salaam" hi karen
shari'at me kaha gaya hai ke jab aek dusre se milo to "salaam" karo, is ki jagah "Yaa Ali" kahne ke liae nahi kaha gaya hai, albatta "Yaa Ali" kahne se mana bhi nahi kiya gaya hai, Salaam karna mustahab hai lehaaza agar Yaa Ali kahne se ye tark ho jaa'ae to shar'an koei haraj nahi hai, dusre ye ke "Yaa Ali" kahna munkar (naa pasandida) kaam bhi nahi hai taa ke is se roka jaa'ae balke ye khud aebaadat hai
Hadise Rasul (صلی الله علیه و آله) hai :
ذکر علی عباده
Ali (عليه السلام) ka zikr aebaadat hai
Note :
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawalaat Qum / Iran
5 / شعبان / 1439 ھ.ق
🌷روز ولادت باسعادت امام سجاد علیه السلام🌷