Asalam alaikum
Agar kisi aise shakhs par gusle jinabat wajib ho jaye jo ki bemar ho aur khud gusl kane par qadir na ho toa dusra shakhs us ka gusl kis tarah se anjaam de gusl dete waqt jo chenten us ke badan ya libas par lag jaye kya woh paak hain ya najis kya us ko bhi baad main gusl karna chahiye
Aaga badi jaldi hai isliye ho sake jawab ek ghante main dijiye ga
Aap ka mamnoon
gulzar ahmad
*Jawaab :*
باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
*1-* ghusl karne me dusre shakhs se madad len , dusra shakhs paani giraae our ghusl ke tariqe ke motabiq bimaar khud jism par paani pahonchaae
agar paani pahonchaane par bhi qaadir nahi hai to dusra shakhs badan par paani pahonchaae
dono surat me ghusl ki niyat khud bimaar kare
*2-* chinton me agar najasat lagi hai to najis hai warna nahi
*3-* madad karne waale par ghusl nahi hai
*Note :*
agar bimaar zan o shauhar aek dusre ki madad karen to zeyaada behtar hai , is liye ke dono mahram hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari kadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad Patna / shoba-e- sawalaat Qum / Iran
3/ شعبان / 1439 ھ.ق
*💐روز ولادت باسعادت امام حسین علیه السلام💐*
Subscribe my channel
Saturday, April 21, 2018
Agar kisi aise shakhs par gusle jinabat wajib ho jaye jo ki bemar ho aur khud gusl kane par qadir na ho toa dusra shakhs us ka gusl kis tarah se anjaam de gusl dete waqt jo chenten us ke badan ya libas par lag jaye kya woh paak hain ya najis kya us ko bhi baad main gusl karna chahiye?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment