Salam agha jaan
hmne dekha hai ki jume ki namaz me baaz maulana Hindustan me bilkul zawal ke waqt azaan dene ko kahte h...aur baaz jagho par waqt moayyan hai 12:15pm ya 12:30pm aur har juma ko utne hi baje azaan hoti hai. aur aisa bhi dekha hai ke baaz khutba 20 mins ka hi dete hai aur wajah batate hai ki namaz ka waqt nikal jaaega jabki baaz log 45 mins ka khutba de dete h....sistani saheb k fatwe ke motabiq jume ki azaan kab honi chahie aur jume ki namaz ka waqt kab tak hota hai?
*jawaab*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
شکریہ
*(1)* Azaan ka waqt zavaale aaftaab hai yani aadha din guzar jaane ke baad. is ko ham log do pahar ka waqt ya dhup dhalne ka waqt bhi kahte hain
*zavaale aaftaab maalum karne ke 2 aasan tariqe :*
*1)* masalan agar kisi shahar me suraj nikalne ka waqt 6 baje subh our dubne ka waqt 18 baje hai to is surat me suraj nikalne our dubne ke darmeyaan 12 ghante huye , 12 ka aadha 6 ghante hain *lehaaza suraj nikalne ke baad jab 6 ghante guzar jaayen yani 12 baje azan ka waqt hai*
*our agar din 12 ghante ka na ho balke 13 ghante ka ho to suraj nikalne ke baad 6:30 ghante guzar jaane ke baad yani 12:30 waqte zavaal hai*
*2)* jab suraj bich aasmaan se maghrib ki taraf jhuke yani bich aasmaan me tahar (ٹھہر) jaaye to ye waqte zawaal hai
*tavajjho :*
jo bayaan kiya is ke peshe nazar shahar our mousam ke aetebaar se waqt me farq hoga yani har shahar wa mousam ka waqt yaksan nahi hai masalan hindustaan me jo shahar mashriq (East) me vaaqe hain jaiyse bihar wa Bengal... ke shahar to yahaan waqte zavaal jaldi hoga our maghrib (West) me der se hoga our garmi me bade din wa sardi me chote din hongen
*(2)* zavaal ke baad taqriban eak ghnte ke andar namaaze jum'aa ke 2 khutbe our namaaz khatm ho jaani chaahiye , masalan zavaale aaftaab ke baad taqriban 40 ya 45 minut dono khutbe diye jaayen is ke baad bela faasela namaaz shuru kar di jaaye our namaaz taqriban 10 se 15 minut me khatm kar di jaaye is surat me namaaze jum'aa kaafi hai namaaze zohr pdhne ki zarurat nahi hai
*lekin agar zavaal ke baad taqriban aek ghante se zeyaada namaaze jum'aa me taakhir huyi to namaaze jum'aa ka waqt khatm ho gaya is surat me namaaze jum'aa kaafi nahi hai namaaze zohr pdhna zaruri wa laazim hai*
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
22 /جمادى الثانى / 1439ھ.ق
Subscribe my channel
Tuesday, March 27, 2018
sistani saheb k fatwe ke motabiq jume ki azaan kab honi chahie aur jume ki namaz ka waqt kab tak hota hai?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment