Sawaal az :...
Salam agha jaan
hamne dekha hai ki jume ki namaz me baaz maulana Hindustan me bilkul zawal ke waqt azaan dene ko kahte hain... aur baaz jagho par waqt moayyan hai 12:15pm ya 12:30pm aur har juma ko utne hi baje azaan hoti hai. aur aisa bhi dekha hai ke baaz khutba 20 mins ka hi dete hai aur wajah batate hai ki namaz ka waqt nikal jaaega jabki baaz log 45 min ka khutba de dete h....sistani saheb ke fatwe ke motabiq jume ki azaan kab honi chahie aur jume ki namaz ka waqt kab tak hota hai ?
jawaab
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
- Azaan ka waqt zawaale aaftaab hai yaani aadha din guzar jaane ke baad. is ko ham log do pahar ka waqt ya dhup dhalne ka waqt bhi kahte hain
- Masalan agar kisi shahar me suraj nikalne ka waqt 6 baje subh aur dubne ka waqt 18 baje hai to is surat me suraj nikalne aur dubne ke darmeyaan 12 ghante huae, 12 ka aadha 6 ghante hain, lehaaza suraj nikalne ke baad jab 6 ghante guzar jaa'aen yaani 12 baje azaan ka waqt hai
- Jab suraj bich aasmaan se maghrib ki taraf jhuke yaani bich aasmaan me thahar (ٹھہر) jaa'ae to ye waqte zawaal hai
- Zawaal ke baad taqriban aek ghante ke andar namaaze jum'ah ke 2 khutbe aur namaaz khatm ho jaani chaahiae, masalan zawaale aaftaab ke baad hadde aksar 40 minute tak dono khutbe diae jaa'aen is ke baad bela faasela namaaz shuru kar di jaa'ae aur namaaz taqriban 10 se 15 minute me khatm kar di jaa'ae to is surat me namaaze jum'ah kaafi hai namaaze zohr padhne ki zarurat nahi hai
Zawaale aaftaab maalum karne ke 2 aasaan tariqe :
Aur agar din 12 ghante ka na ho balke 13 ghante ka ho to suraj nikalne ke baad 6:30 ghante guzar jaane ke baad yaani 12:30 waqte zawaal hai
Tawajjoh :
Jo bayaan kiya is ke peshe nazar shahar aur mausam ke aetebaar se waqt me farq hoga yaani har shahar wa mausam ka waqt yaksan nahi hai masalan Hindustaan me jo shahar mashriq (East) me waaqe hain jaiyse Bihar wa Bengal... ke shahar to yahaan waqte zawaal jaldi hoga aur maghrib (West) me der se hoga aur garmi me bade din wa sardi me chhote din hon ge
Lekin zawaale aaftaab ke baad agar dono khutbon ka silsila 40 minutes se zeyaadah jaari raha, 1:15 (1 ghanta 15 minutes) ke qareeb dono khutbe diae ga'ae to aehteyaate waajib ke taur par namaaze zohr padhna bhi zaruri hai aur agar khutbon ka silsila 75 minutes se zeyaadah jaari raha to ba'zaahir namaaze jum'ah kaafi nahi hai, zohr ki namaaz padhna zaruri hai
Mofid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
22 / جمادى الثانى / 1439ھ.ق
No comments:
Comment