sawaal az: .....
Salam
Ji mera sawal Ye hai Ke moashrom Ka istemal karna kaisa hai halal hai but Kiya Khana makrooh hai ?
Agha sistani Sb ki nazar se
2 sawal
Kiya Namaz ki haalat me hansi aa gayi aur awaaz tez ho gayi to Namaz baatil hai aaya wo Namaz Dobara padhi hai to Kiya wo Namaz Sahi huyi ?
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته1. wo Mushroom jo khoraak wa gheza me istemaal karte hain ous ka khaana halaal hai lekin jis me zahar hota hai ous ka khaana haraam hai
Aayatullah sistaani ki fiqhi ketaabon me dekha, haqir ko makruh hone ke baare me nahi mila. agar maalum karna zaruri hai to istifta kar ke bataaya jaa sakta hai
2. 12 chizon se namaaz baatil ho jaati hai oun me se aek aamdan ( jaan bujh kar ) wa aawaaz se hansna hai agar hansi ke asbaab wa moqad'demaat aekhteyari hain yaani khud faraaham kiae hain ( jaiyse aiysi jagah namaaz padhen jahan chut'kule chhode jaa rahe hain, latife sunaaye jaa rahe hain ya hansi aane waala chut'kula wa latifa khud sonchen ) to is surat me agar aekhteyar se baahar ho kar bhi hansi aa gaei to namaaz baatil hai
aur agar hansi ke asbaab wa moqad'demaat aekhteyari nahi hain yaani khud faraaham nahi kiae hain ( jaiyse jahaan namaaz padh rahe hain wahaan koei aa kar chut'kula sunaane lage ya bach'cha aa kar aiysa kaam kare jis se hansi Aa jaaye ) to is surat me agar waqt hai to aehteyaate waajib ke taur par dobaara namaaz padhen ( agar namaaz ka waqt guzar gaya hai to dobaara padhna zaruri nahi hai )
lekin agar amdan beghair aawaaz ke ya sahwan ( bhule se, bela aeraada ) aawaaz se hansen to namaaz batil nahi hai, sahih hai
Note :
agar hansi ki aawaaz rokne me haalat badal jaae, masalan rang laal ho jae to aehteyaat-e-waajib ye hai ke namaaz dobaara padhen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawalaat Qum / Iran
۔29 / جمادی الثانی / 1439 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment