Salam
Ji mera sawal Ye hai ke zuhar ki Namaz Ki Kab qaza hoti Hai? Or magrib ki Namaz ki qaza Kab se hoti hai?
*jawaab*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
*1)* namaaze zohr wa asr ka waqt zawaal (nisf roz - do pahar se zra baad ka waqt) ke baad ghorube'aaftaab tak hai ghorub ke pahle haazir ke liye sirf 4 rak'aat our mosaafir ke liye sirf 2 rak'aat padhne ka waqt baaqi hai to ye waqt namaaze asr se makhsus hai is ke pahle tak namaaze zohr ka waqt hai agar is waqt tak nahi padhi to namaaze zohr qaza ho jaiy gi
*2)* jis ke saath majburi nahi hai to ous ke liye namaaze maghrib wa aesha ka waqt aadhi raat tak hai
lekin agar kisi ke saath majburi hai masalan bhul gae ya so gae ya maahwaari ka silsila toluye fajr ke pahle tak raha to waqte namaaze maghrib wa aesha toluye fajr tak hai
agar nisf shab ya toluye fajr tak haazir ke liye sirf 4 rak'aat wa mosaafir ke liye 2 rak'aat padh ne ka waqt baaqi hai to ye waqt namaaze aesha se makhsus hai is ke pahle tak namaaze maghrib ka waqt hai agar is waqt tak nahi pdhi to namaaze maghrib qaza ho jaiy gi
*(motabiq nazare mobaarak aayatullah sistaani)*
*Note:*
*1)* toluye fajr ko subhe saadiq wa fajre saadiq bhi kahte hain
nisf shab se zara baad ka waqt hai jab fajr ki safed dhari (safed nur ki lakir) raat ki seyah dhari se numaaya ho jae (yani namaaze subh ke waqt ka aagaaz )
*2)* tamaam khaharan wa beradarane geraami se baraha darkhast kar chuka hun aek martaba phir guzarish hai ke fiqhi masael me apne marja ka naam zrur bataen
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
15 / جمادى الثانى/ 1439ھ.ق
Subscribe my channel
Tuesday, March 27, 2018
mera sawal Ye hai ke zuhar ki Namaz Ki Kab qaza hoti Hai? Or magrib ki Namaz ki qaza Kab se hoti hai?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment