Sawaal az : mohtaram janaab taabish sb
Salamun alaikum wrwb
Maulana mera ek sawal hai hamne ek video clip dekhi jisme ek aalim... farma rahe hai ki maulaa-e-kaainaat ali a.s ka naam haidar pada q ki maula ke welaadat se pahle jab bachha paida hota tha tw us waqt makke me ek jagah thi janha pathhar pe laa kar bache ko leta diya jata tha aur ek azdaha nikalta tha aur agar wo bache ko takleef pahunchata tha tw log kahte the bacha haraam raaste se aaya hai aur agar azdaha bache ko sungh ke chala jata tha koi takleef nahi deta tha tw kahte the halaal raaste se aaya hai._ _Tw jab maula ki weladat hui tw logo ne janab-e-abutaalib a.s se kaha bache ko letaaiye pathar pe janab-e-abutaalib a.s ne maula ali a.s ko pathar pe leta diya phir azdaha nikla tw maula ne use do hisse me cheer diya.
Tw maulana ne padha ki "haiya" kahte hai saanp ko aur "darra" kahte hai chirne ko. do hisse me taqsim kar dene ko. Jab maula ne azdaha ko chir diya tw logo me shor utha "haiya darr" matlab ki azdaha ko cheer diya us waqt se yahi "haiya darr" haidar ho gaya aur maula ka naam haidar pad gaya
Mera sawal hai ki kya ye sahi hai?
Aaya maula ka naam haidar isi tariqe se pada
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ka mash'hur wa maaruf aek laqab "Haidar" hai is ka aeteraaf dost wa dushman sabhi karte hain
"Haidar" ya "Haidara" kahne ki jo wajah bataaei gaei hai wo ghalat wa naa'durust hai is liae ke motabar taarikh wa rewaayaat se saabit hai ke welaadat ke baad aap ki maadare geraami janaabe Faatema Binte Asad ne mokhtalif maqaamaat par aap ki shujaa'at dekhi to aap ka naam apne baap yaani Hazrat Ali (عليه السلام) ke naanaa ke naam "Asad" par "Haidara" (sher) rakha, azdar (اژدر) chirna dileri wa bahaaduri ka aek manzar hai
ghazwa-e-khiybar se kam-o-besh taqriban sabhi aagaah hain. Marhab jab ye rajz (رجز) padhta huaa baahar nikla :
قَد عَلِمَت خَیبَرُ اَنِّی مَرحَب
khaiybar jaanta hai ke main Marhab hun, diler hun
to Hazrat Ali (عليه السلام) ne ye rajz padha :
اَنَاالَّذِى سَمَّتنِى اُمِّى حَيدَرَه
me wo hun ke meri maa ne mera naam "Haiydara" (sher) rakha hai
-
manaaqebe Aale abi taalib jild 3 p 110 fasl "tasmeyatohu be Ali wal Murtaza wa haidarah ... "
- muntahal Aamaal jild 1 p 108 - 212
-
beraadaraane Ahle sunnat ki mash'hur wa maaruf ketaab
Al kaamil fit'taarikh jild 1 p 597 (gazwa-e-khaiybar)
Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ka rajz padhna saaf aur sarih hai is me shak wa shubhe ki gunjaaeish nahi hai ke aap ka naam "Haidar" Aap ki maa ne rakha tha kisi aur ne nahi
Haidar ka matlab :
Arabi zabaan me "Haidar" ka matlab sher hai aur sher shujaa'at ka neshaan wa alaamat hai
aur baaz kahte hain "Haidar" ka matlab aiysa dur andesh shakhs hai jo tamaam omur me nehaayat baariki se ghaur-o-fikr karta hai
manaaqebe Aale abi taalib jild 3 p 110 fasl "tasmeyatohu be Ali wal Murtaza wa haidarah ... "
sher ko haidar keyon kahte hain ?
is ki mokhtalif waj'hen bataaei gaei hain sirf 2 ki taraf aekhtesaar ke saath aeshaara kiya jaa raha hai
- jangal ka sultaan wa baadshah hai
- is ke baazu bahot Qawi hain
ye saari baaten Hazrat Ali (عليه السلام) me jama hain
aap ki shujaa'at, dileri wa quwate baazu ka jawaab nahi. tamaam omur me nehaayat baariki se ghaur-o-fikr karte the
aur sultaane kaa'aenaat hain "Asadul'lah" (khoda ka sher) hain is liae aap ki maadare geraami ne aap ka naam Haidar rakha tha
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
13 / رجب / 1439ھ.ق
۔🌹روز ولادت با سعادت امیر المومنین علی(عليه السلام) بہت بہت مبارکباد🌹۔
Subscribe my channel
No comments:
Comment