Janab kiya wazu ke waqt sar ka jo masa kiya jata hai wo sar ke kisi bhi hisse men kar sakte hain ki sirf bich ki maang nikal ke kiya ja sakta hai? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, March 27, 2018

Janab kiya wazu ke waqt sar ka jo masa kiya jata hai wo sar ke kisi bhi hisse men kar sakte hain ki sirf bich ki maang nikal ke kiya ja sakta hai?

Salaamun alaikum wrwb

Janab kiya wazu ke waqt sar ka jo masa kiya jata hai wo sar ke kisi bhi hisse men kar sakte hain ki sirf bich ki maang nikal ke kiya ja sakta hai

Wsalaam

*jawaab*

                          باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله وبركاته

*sar ko daaen , baaen our piche wa aage 4 hisson me taqsim karen. in 4 hisson me se aek hissa (chouthaei) jo sar ka agla hissa hai yani peshaani ke oupar mas'h ki jagah hai is hisse par kahin bhi mas'h karen kaafi hai*

maang (مانگ) nikaal kar ya sar ki khaal par mas'h karna zaruri nahi hai balke sar ke agle hisse ke baalon par bhi sahi hai lekin agar agle hisse ke baal is qadr bade (lambe) hain ke kanghi (کنگھی) karte waqt chehre par Aa jaate hain ya sar ke dusre hisse par chale jate hain to is surat me zaruri hai ke baalon ki jad (جڑ) par mas'h karen ya baalon ko hataakar khaal par karen

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

16 / جمادى الثانى / 1439ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen