اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں
باسمه تعالی
eismat-e-janaab-e-Saiy'yeda ( سلام الله علیها ) ki gawaahi :
is me koei shak-o-tardid nahi hai ke maah-e-welaayat, Sanduqa-e-Asraar-e-Ahad-o-Ahmad, Mazhar-e-jamaal-e- khodawandi, Sadaf-e-Gauhar-e-Shabbir wa Shabbar wa Zainab-o-Oumm-e-Kulsum, janaab-e-Saiy'yeda ( سلام الله علیها ) saaheb-e-eismat-e-kubra hain
mash'hur wa maruf Sunni aalim, Fakhr-e-Raazi saaheb jaisi shakhsiyat jin ke baare me mash'hur hai mabda ( aaghaaz-e-zindagi ) se ma'aad ( qeyaamat ) tak shak-o-shub'ha me daala hai, isi liae aap ko imaamul moshak'kekin ( shak me dalne walon ke imaam ) kaha jaata hai, lekin Dokhtar-e-Rasul Janaab-e-Zahra ( سلام الله علیها ) ki eismat ke ta'alluq se taslim-e-mahaz hain
aarif-e-buzurg, zulfonun, abul fazaa'ael, Allama Hasan Zaada Aamoli saaheb ki shakhsiyat se yaqinan tamaam momenin aagaah hain
aap farmate hain :
azaan-o-aeqamat me khoda, Rasul aur Imaam ki gawaahi ke baad hujjat wa eismat-e-Janaab-e-Saiy'yeda ( سلام الله علیها ) ki gawaahi dene me koei haraj nahi hai masalan kahen :
" اشهد ان فاطمه بنت رسول الله عصمت الله الکبری و حجة الله علی الحجج "
" me gawaahi deta hun / deti hun ke beshak dokhtar-e-rasul-e-khoda, allah ki sab se badi eismat aur hujjaton par allah ki hujjat hain "
zimnan aek bahot bade aur buzurg aarif ka waaqe'aa naql kiya hai jo saahebe "ilqa'aat-e-subbuhi" hain oun ke naam ka zikr nahi kiya hai lekin tahrir se maalum hota hai Allama Hasan Zaada saaheb ke bahot qaribi hain
waaqe'aa ka khulaasa molaaheza farmaa'aen :
ounho'n ne jab chaaha ke azaan-o-aeqamat me
"اشهد ان فاطمه بنت رسول الله عصمت الله الکبری"
kahen to saamne ki diwaar ke andar se awaaz aaei ke koei kah raha hai :
"اشهد ان فاطمه الزهرا حجة الله علی الحجج"
qabil-e-tawajjoh baat ye hai ke isi tarah ki mobarak aebaarat imaam-e-Hasan Askari ( علیه السلام ) se naql huei hai
aap ne farmaya :
" نحن حجج الله علی خلقه و جدتنا فاطمه حجة علینا "
"ham log allah ki makhluqaat par hujjat-e-khoda hain aur hamaari daadi Faatema ham par hujjat hain"
ye waaqe'aa ( diwaar ke andar se awaaz ... ) aur ye hadis sabab bani ke Allama ke nazdeki buzurg aarif , azaan wa aeqaamat me Rasul-e-khoda ki nabuwat, imaamat-e-amirul momenin Ali wa aap ki aulaad ( علیهم السلام ) ki gawaahi ke baad
"اشهد ان فاطمه بنت رسول الله عصمت الله الکبری و حجة الله علی الحجج"
kahte hain
azaan-o-aeqamat me janaab-e-saiy'yeda ( سلام الله علیها ) ki eismat ... ki gawaahi dena Amirul Momenin Ali ( علیه السلام ) ke imaam hone ki shahaadat ke ham wazn hai
Allama Hasan Zaada ne apne aur Aayatullah Jawadi Aamoli sb ... ke oustaad, Allama Mirza Abul Hasan Sharani ke aek khat ka zikr matn ke saath kiya hai jo mosuf ke paas maujud hai
ye khat olamaa-e-ahl-e-sunnat ki taraf se azaan-o-aeqamat me Amirul Momenin Ali ( علیه السلام ) ki imaamat wa welaayat ke aeqraar wa gawaahi ke ta'alluq se puchhe ga'ae sawaal ka jawaab hai. aap ne is ko ahl-e-sunnat ki motabar ketaabon se saabit kiya hai
aekhtesaar ko madde nazar rakhte huae khat ko nazar andaaz karta hun
ahl-e-tahqiq, ketaab " شرح فص حکمة عصمتیه فی کلمة فاطمیه ( علیها السلام ) - sharh-e- fass-e-hikmat-e-eismatiya fi kalemat-e- faatemiya ( علیها السلام ) " taalif Abul Fazaa'ael Allama Hasan Zaada Aamoli - p 100 se 107 tak dekh len
Note :
-
ilqa'aat-e-subbuhi, irfaani istelaah hai, ilqa'aat ka matlab wo chizen hain jo qalb-e-insaan par waarid hoti hai
is se moraad rahmaani, rabbaani aur aelaahi ilqa'aat hain. haalat-e- khaab ya bedaari me qalb-e-insaan is se faiz yaab hota hai
is ke moqaabil ilqa'aat-e- sheiytaani hain, tafsil ke liae motabar irfaani ketaabon se roju karen
-
Mirza Abul Hasan Sharani almaaruf ba Allama Sharani, buzurg aarif wa oustaad-e-olum-e-islaami the
taarikh, falsafa, nojum, reyaziyaat, adabiyaat wa digar olum me maahir the, mokhtalif zabaano par bhi mosallat the, aap apne waqt ke Shaikh Bahaa'ei the isi liae aap ko bhi zulfonun kaha jata hai
- is me koei shak nahi ke hazrat Zahra ( سلام الله علیها ) saahebe eismat-e-kubra aur hujjat-e-khoda hain lekin baaz wojuhaat aur masaa'ael ... ki bena par baaz Maraaje ne azaan wa aqaamat me is ki gawaahi dene ki aejaazat nahi di hai
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat - Qum almoqaddasa / Iran
20 / جمادی الثانی / 1439 ھ.ق
🌹roz-e- welaadat-e- ba sa'aadat-e- janab-e- saiyeda ( سلام الله علیها )🌹
translitrated by Saiyed Md Tabish from urdu to roman urdu
No comments:
Comment