کیا یہ روایت۔ رجب المرجب میں منقول کسی دعا میں یہ جملے موجود ہیں۔۔ - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, March 27, 2018

کیا یہ روایت۔ رجب المرجب میں منقول کسی دعا میں یہ جملے موجود ہیں۔۔


قبلہ ایک عدد سوال ھے
《تفسير رواية》
ان قوله عليه السلام:
( ان لنا مع الله حالات هو نحن و نحن هو، و هوهو و نحن نحن)
ناظر إلى حالات الإتحاد في الهوية، أي أنّ لنا مع الله تعالى حالات نكون في هذه الحالات لشدّة الإتصال به عزّ وجلّ والقرب منه كأننا هو، إذ تغيب إنياتنا في هذه الحالات لاندكاكها في عظمته، فنكون مظهراً لأمر الله وفعله، فإذا قلنا فالله تعالى هو القائل بنا وإذا فعلنا فالله تعالى هو الفاعل بنا، فبلحاظ هذه الحالات يكون فعلنا وقولنا فعل الله وقول الله مع أنه أجل وأعلى من أن يتحد بنا لأننا نحن وهو هو، وكذلك نكون كأننا الله عز وجل مع إننا عبيد له.
و يشير إلى هذا المعنى ما ورد في دعاء كلّ يوم من شهر رجب للإمام الحجة عليه السلام ومنه: لا فرق بينك وبينها (هم) إلا إنهم عبادك وخلقك. (مفاتيح الجنان و بحار الانوار،ج 95،ص 392)
فقوله عليه السلام: (لا فرق بينك وبينها) يشير إلى تلك الحالات التي لهم عليهم السلام مع الله تعالى بحيث تغيب إنياتهم وذواتهم في جلال جبروته وعظمته، ففي مثل هذه الحالات لا يكون ثمة فرق بينه عزّ وجلّ وبينهم من جهة صيرورتهم مظاهراً لأفعاله لأنهم واسطة فيضه ومحل مشيته ومظهر كبريائه.


اس روایت میں جو جملہ ہے۔۔۔
نحن ھوا
یہ حدیث کسی حوالہ سے
رہبر کبیر آیت اللہ العظمی سید روح اللہ الموسوی الخمینی بت شکن علیہ رحمہ
نے اپنی کتاب۔     سرالصلوة .. 
 لکھی ھے۔۔
سوال ۔۔ 
کیا یہ روایت۔   رجب المرجب  میں منقول کسی دعا میں یہ جملے موجود ہیں۔۔

اگر ہیں تو قبلہ وہ ۔۔۔ دعا۔۔۔
لکھی ہوئی اور اسکو کب پڑھنا ھے
رہنمائی فرمائیں۔

مہربانی ہوگئی۔۔  قبلہ۔۔  سید منتظر ہوں۔۔
سلامت رہیں۔۔۔

*Jawaab :*

                           باسمه تعالى

                           سلام عليكم

imaame sadiq(عليه السلام) se mansub jis hadis ke baare me sawaal kiya gaya hai is hadis our is ke maanind hadis ka tarjuma va mafhum ye hai:

*"beshak hamaare (14 masumin عليهم السلام) liye khoda ke saath haalaat (keyfiyaat) hain vo oun haalaat me hai our ham (bhi) oun haalaat me hain vo ham hain our ham vo is ke baa'wajud vo , vo hai our ham , ham"*

is hadis se mota'aliq 2 sawaal kiye gaye hain

*pahle sawaal ka khulaasa :*

imaame khumaini ne kis havaale se ye hadid apni ketaab "sir'rus'salaat" me likhi hai

*Jawaab :*

imaame saadiq (عليه السلام)se mansub ketaab "misbaahus'shariyah wa miftaahul'haqiqah" me bhi is revaayat ka zikr be'ghaer sanad ke hai imaame khumaini ki baaz tahrir our ketaabon me is hadis ka zikr hai ya is ke mafhum ki taraf aeshara kiya hai masalan shar'he doaaye sahar , tafsire surah hamd , hukumate islaami , 40 hadis our bhot daqiq , mushkil wa irfaani ketaab
 " misbaahul'hedaayah aelal khelaafah wal welaayah " me bhi is hadis ki vazahat ki hai

is hadis ko samajh na Aam insaan ke liye mushkil hai , balke bas me nahi hai , agar koiy aiysi rewaayaat ko sahih tariqe se na samajh paae to momkin hai bahak jae our kufr ilhaad our shirk ka shekaar hojae ya rewaayat hi se inkaar kar de , isi liye imam-e- khumaini ne " misbaahul hedaayah aelal khelaafah wal welaayah " ke moqaddeme me likha hai

ye ketaab Aam logon ke liye nahi likhi gaiy hai balke khawaas me jo khaas wa momtaaz hain oun ke liye likhi gaiy hai

jab jaali nahi balke asli irfaan me tauhid se bahas ki jaati hai to tauhid se moraad khaas tauhid hai

Ahl-e- bait ( علیهم السلام ) ke asli wa khaalis irfaan ke moqaabil , gumraah kun irfaan ka qad nikaalne waale wa jaahil sufiyon waali tauhid nahi , wahdat-e- wojud wa maujud ( وحدة الوجود والموجود ) ke ta'alluq se jaahil sufi kahte hain :

" tamaam maujudaat ko khoda-e- ta'aala hi ka aek wojud maan'na our maaseva ke wojud ko mahaz aetebaari , kheyaal-e- mahaz wa saraab samajh na yani wojud wa maujud aek hi hai our wo khoda hai "

ye nazariya ghalat hai , is liye ke khoda ke aelawah bhi maujudaat hain , ye mahaz khayaal nahi hai balke haqiqat hai

*imam-e- khumaini ne is hadis ki vazahat wa tafsir me 14 masumin ( علیهم السلام ) ke 2 mohim maqaam wa martabe ki taraf aeshaara kiya hai , masalan " fana fillah " our hazrat Ali ( علیه السلام ) ka zaat-e- khoda me mamsus hona , ya haalat-e- namaaz me anguthi dena ... our shab-e- meraaj , rasul-e- akraam ( صل الله علیه و آله ) ka 2 kamaano se kam faasela , surah-e- Najm me hai 《 yahan tak ke 2 kamaano ke barabar ya is se kam ( faasela ) rah gaya ... 》*

*dusra maqaam o martabah is se bhi baala tar hai , is se baala tar maqaam wa manzil nahi , is me khoda wa in ke darmeyaan faasela hai hi nahi , wo vahdat-e- wojud ( wojud ka aek hona ) our kasrat-e- wojud ( wojud ki zeyaadti ) hai.*
*hadis " be shak hamare liye khoda ke saath haalaat hain ... " me isi maqaam ki taraf aesharah kiya gaya hai*

*mokhtasar vazaahat :*

tamam kaaenaat ke 2 rukh hain , zaahir wa baatin , nezaame kaaenaat ka zaahir khalq ( maad'dah) hai our baatin haq , yani khoda hai

haqiqat-e- kaaenaat ke wojud me vahdat hai our maujudaat is ke mazaahir hain our kasir , mokhtasar ye ke is nazariye ke motabiq , khoda ke aelaawah wojud hi nahi , maujudaat wojud nahi hain balke is wojud ke mazaahir hain , lehaaza asli orafa kahte hain , wojud wa maujud aek hi hai our vo zaat-e- baari ta'aala hai , khoda ke aelawah na wojud hai our na maujud , balke ye sab mazaahir-e- wojud ya mazaahir-e- asmaa-e- aelaahi hain jo kasir hain , yani vahdat me kasrat hai

istelaah me is ko vahdat-e- wojud wa kasrat-e- wojud kahte hain

imam-e- khumaini isi nazariye ko maante the our hamesha is ka defaa bhi kiya

*vahdat me kasrat pesh aane ki keyfiyat wa halat par sirf 2 misaal :*

*1)* daryaa our is ki mauj wa lahar ko dekhen , daryaa aek hai lekin maujen bht hain , mauj ghair az daryaa hai , is ke ba wojud is haqiqat se bhi inkaar nahi kiya ja sakta ke daryaa se alag va juda bhi nahi hai , aek aetebaar se lahar , ain va hu bahu daryaa hai

khoda our 14 masumin ( علیهم السلام ) ke darmeyaan isi tarah ka raabeta bar qaraar hai

*2)* jis kamre me aa'eina bandi ki gaiy hai ous me aek shakhs aae , shakhs aek hai lekin aa'eine me hazaaron suraten nazar aati hain , shakhs aek hai lekin tasviren bht hain , tasviren ghair az aa'eina hain , is ke ba wojud aa'eine ae juda bhi nahi hain , ye hai " vahdat-e- wojud va kasrat-e- wojud " khoda wa inke darmeyaan raabeta , shakhs our aa'eine me tasviron ki tarah hai , khoda our 14 masumin ( علیهم السلام ) jin haalaat va keyfiyaat me hain isi tarah hai

imam-e- khumaini ke nazdikh vahdat-e- wojud ka matlab hargiz ye nahi hai ke ma'aazallah ma'aazallah 14 masumin ( علیهم السلام ) khoda ban gae , khaaliq , makhluq ban gaya ya makhluq , khaaliq ; balke is ka matlab daqiq va baarik hai , hesaab o ketaab se hai , is ko samajh na aam insaan ke bas me nahi hai lehaaza is bahas ko is baat par khatm karta hun :

*14 masumin (علیهم السلام) ka manavi va ruhaani wo maqaam hai ke ous tak koiy moqar'rab farishta our koiy nabiy-e- mursal bhi nahi pahunch sakta*

*dusra sawaal imam-e- Sadiq ( علیه السلام ) se mansub hadis :*

*" hamaare liye khoda ke saath haalaat hain ... "*
*ke baare me ye hai ke is hadis ke jumle maahe rajab me padhne vaali kis dua me hain ?*

*Jawaab :*

ain wa hu bahu jumle to mujhe nahi mile lekin is hadis ka mafhum va matlab dua me hai , aek nuraani dua banaam-e- Rajabiya hai , is ko imam-e- Zamana (عج) ke chauthe va aakheri khaas naeb ne touqi ke zariye imam-e- Zamana (عج) se naql kiya hai
 maahe Rajab me is ko har roz padhna chahiye , is me 14 masumin ( علیهم السلام ) ke baaz manavi wa ruhaani maqaam o martabe ko bayaan kiya gaya hai , is dua ka zikr mokhtalif ketaabon me hai our mafaatihul jenaan me bhi , fasle awwal Aamaal-e- maah-e- Rajab

dua ka wo hissa molaheza farmaen , jis me hadis ke mafhum ke taraf aeshara kiya gaya hai :

" ... لا فرق بینک و بینها الا انهم عبادک و خلقک ... "
mafhum :
" khoda our 14 masumin me farq nahi hai magar ye ke 14 masumin (علیهم السلام) banda wa makhluq-e- khoda hain "

hadis ki tarah dua ke is jumle ko bhi samajhna Aam insaan ke bas me nahi hai , is liye ke is ka matlab bhi bht daqiq , sangin wa qaabil-e- hazm nahi hai

ba har haal mokhtasar arz kardun :
ye khoda ke maqaam-e- zaat ke baare me nahi hai , is liye ke zaat-e- khoda tak kisi ki rasaayi nahi ho sakti , hatta ambiya ki bhi

is ke idraak se sabhi aajiz va naa tawaan hain lehaaza khoda ke maqaam-e- fel ( فعل ) se marbut hai , yani har vo kaam jo bataure mustaqil khoda karta hai ous ko khoda ki paiyravi wa taqlid karte hue 14 masumin ( علیهم السلام ) karte hain , tamam aelaahi taaqaten in ke haathon me hain , is lehaaz se khoda our in ke darmeyaan farq nahi hai , farq sirf bandagi va makhluqiyat me hai

ye sefaat-e- khoda ke mazhar va mahall-e- zohur hain

hadis va dua ke jumle shirk nahi hain balke samajhne waalon our ahl-e- marefat ke liye ain touhid , marefat hai

*rasul-e- akram ( صلى الله علیه و آله ) ke liye baaz orafa ne kaha :*

         *ز احمد تا احد یک میم فرق است*
         *جهانی اندر آن یک میم غرق است*

*ahmad se ahad tak aek mim ka farq hai , is aek mim me puri dunyaa gharq hai*

*mim se moraad momkenul wojud ( ممکن الوجود ) hona hai , khoda va rasul me bas farq ye hai ke  khoda , waajebul wojud ( واجب الوجود ) hai , our ye momkenul wojud .*
*albatta isi farq me asraar va haqaeq ka samandar poshida hai . ahl-e- bait-e- rasul ( صلوات الله علیهم ) bhi isi trah hain*

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari khadime edara-e- darul etrat Azim aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran
8 / رجب / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen