kya maraje kiram ke mutabiq peshaab ke maqaam par sirif ek bar pani dalne se najasat zayil ho jati hai. (agarchi is par koyi doosri najasat maslan mani waghairah chipki na ho) - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Thursday, March 8, 2018

kya maraje kiram ke mutabiq peshaab ke maqaam par sirif ek bar pani dalne se najasat zayil ho jati hai. (agarchi is par koyi doosri najasat maslan mani waghairah chipki na ho)

Asalaam alaikum

(janab main yeh sawaal mukhtasaran phir se dohraoon ga kyon ki yaqeen janiye bohoat se log aap ke is jawaab se rahat si mehsoos karte hain ki agar faqat peshaab ke  maqaam ya makharaj par do ya teen baar mug ya lote se paani dala jaye to istenja main koyi ishkaal nahein hai, khas kar kuch shaki log to bohoat hi  acha mehsoos kar rahe hain-)
Sawal:-1
kya maraje kiram ke mutabiq  peshaab ke maqaam par sirif ek bar pani dalne se najasat zayil ho jati hai (agarchi is par koyi doosri najasat maslan mani waghairah chipki na ho)-
Sawal:-2
kuch log kehte hain ki DHONE se muraad yeh hai ki peshaab ke makharaj ko hath se male kya yeh sahi hai

*jawaab*

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

shukriya zar'ranavaazi hai

aap ne dusri tahrir me 2 marja ki nazar puchi hai lehaaza is ke motaabiq jawaab ye hai:

*1) rahbare inqelaab :*

agar aiyse pipe se dhoen jo aabe kur se mut'tasil hai ( jaiyse supply ka paani - urban water plumbing ya aiysa pipe jo taqriban 384 litre ki tinky se mut'tasil hai ) *to aek martaba dhona kaafi hai*

*lekin agar aabe qalil hai ( jaiyse lote...ka paani ) to benaabar aehteyaate waajib 2 martaba dhoen*

*2) aayatullah sistaani :*

*aiysa pipe jo aabe kur se mut'tasil hai ya aabe qalil hai dono surat me aek martaba dhona kaafi hai*
 lekin 2 martaba dhona mustahab hai our 3 martaba dhona afzal ( behrar ) hai

*agar dusri najasat chipki nahi hai to malna zaruri nahi hai*

والسلام
syed shamsham ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad /patna - shoba -e- sawaalaat Qum / iran

19 / جمادى الثانى / 1439 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen