Sawaal az : ..............
Salamun alaikum wrb
Molana baad kheriyat ke
Sawaal:-
Aqiq pehanna sunnat-e-Nabi (s.a.w) aur Ali (a.s) hai ya nahi agar hai to koi reference ke sath mere ilm me izafa farmaye
Wsalaam
Jawaab :-
باسمه تعالى
سلام عليكم و رحمةالله و بركاتهMokhtasar jawaab :
ji hai
aek roz janaabe jibril rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ki khidmat me aaye aur kaha yaa mohammad mere rab ne aap ko salaam kaha hai aur farmaaya hai ke aap daahene haath me anguthi (انگوٹھی) pahnen aur ous ka nag aqiq qaraar den aur apne chacha-zaad bhai ali (عليه السلام) se (bhi) kahen ke daahene haath me anguthi pahnen aur ous ka nag aqiq qaraar den...
( manaaqibe aale abi taalib almaaruf ba shahar aashob jild 3 p 302 matbuaa daarul azwa / beirut)
is aur dusri rewaayaat se saabit hai ke aqiq ki anguthi pahenna sunnat wa sirat-e-rasul-e-khoda wa ali (صلوات الله عليهم ) hai
tafsili jawaab :
maasumin (عليهم السلام) ki taraf se taakid kiya gaya, mustahab hai ke mard wa khawaatin daahene hath me anguthi pahnen rewaayaat se maalum hota hai ke aqiq ki anguthi pahenne ka sawaab dusri anguthi se zeyaadah hai
aur aqiq me yamani aqiq ka sawaab zeyaadah hai
Aqiq ki fazilat :
rewaayaat me fazilat bahot bayaan ki gaei hai. baaz rewaayaat ke kuchh hisse molaaheza farmaaen :
-
imaam-e-hasan askari (عليه السلام) farmaate hain :
hazrat aadam jab jannat se aaye aur panjatan (عليهم السلام) ke zariae khoda ne aap ki tauba qabul kar li to anguthi aamaadah ki, jis ka rang surkh aqiq tha aur ous par panjatan (عليهم السلام) ke mobaarak naam kanda karwaa'ae
(farhatulghari p.114 - abdulkarim bin ahmad bin musa bin taa'ous hilli) -
hazarat ali (عليه السلام) ne haalat-e-namaaz me faqir ko jo anguthi di wo laal Aqiq se bani thi
( shawaahedut'tanzil jild 1 p 212 fazaa'aele ali (عليه السلام) ke baare me mash'hur sunni aalim janaab haakim haskaani ne likhi hai) -
pat'tharon me sabse pahle welaayat-e-ali (عليه السلام ) ka aeqraar kiya
Imaam-e-reza (عليه السلام ) farmaate hain :
"... khoda ne roze ghadir welaayate ali ( عليه السلام ) ko 7 aasmaan phir pahaadon ke saamne pesh kiya. sab se pahle jin pahaadon ne welaayete ali (عليه السلام) ka aeqraar kiya 3 pahaad the :
- aqiq
- firoza
- yaaqut
(aeqbaalul'aamaal jild 2 p 262 syed bin taa'ous) -
sefaarish ki gaei hai ke nag par khoda aur 14 maasumin (عليهم السلام) ke naam kanda karaa'aen aur murde ke dahan me rakhen
(falaahus'saa'ael p 75)
baaz maa'nawi wa maad'di faa'aede :
-
Rasul-e-khoda (صلى الله عليه و آله) ne farmaaya :
jab janaabe musa ne koh-e-tur par khoda se monaajaat ki aur zamin par nazar ki to khoda ne zamin par nur se aqiq ko paida kiya aur kaha me ne apni zaat ki qasam khaaei hai ke ous haath ko jahannam ki aag ka azaab nahi diya jaae ga jis ne aqiq ki anguthi pahni, ba'sharte ke ali (عليه السلام) ki welaayat rakhta ho
(manaaqib jild 3 p 302) -
rewaayat me hai aqiq ki anguthi ke saath 2 rak'at namaaz padhna beghair aqiq ki anguthi ke hazaar rak'at se behtar hai
(hilyatul'mut'taqin) -
imaame saadiq ne rasule khoda ( صلوات الله عليهم) se naql kiya hai ke aap ne farmaaya :
aqiq ki anguthi pahno is liae ke ye mobaarak hai aur jo bhi aqiq ki anguthi pahne um'mid hai ke ous ki aaqebat (aanjaam) ba'khair-o-neki ho -
raawi kahta hai maine imaame zaiynul-aabedin (عليه السلام) ke haath me aqiq ki anguthi dekhi to puchha ye kaiysa nagina hai ? aap ne farmaaya :
rumi aqiq (phir farmaaya) rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya hai :
jo bhi aqiq ki anguthi pahne ous ki haajat puri hoti hai -
imaame reza (عليه السلام) :
aqiq faqr wa nefaaq ko dur karta hai -
imaame saadiq (عليه السلام) :
aqiq safar me (baa'aese) amaan hai -
aek shakhs rasule khoda (صلى الله عليه واله) ki khidmat me aaya aur shekaayat ki ke raaste me chor aaya aur mera maal le gaya
to aap ne farmaaya :
aqiq ki anguthi keyon nahi pahni ? is liae ke aqiq ki anguthi har buraa'ei se hefaazat karti hai -
imaame saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :
aqiq ki anguthi pahno is liae ke jab tak aqiq ki anguthi saath hai gham-o-andoh ka saamna nahi hoga (naqle mafhum)
baaz rewaayaton me hai ke imaame saadiq (عليه السلام) ne farmaaya ke aqiq ki anguthi haath katne aur khunrezi se rokti hai
monaasib hai aakhir me is rewaayat ka bhi zikr kar dun
imaame saadiq (عليه السلام) ne farmaaya :
mere nazdik mahbub hai (pasand karta hun) ke har momin 5 anguthi pahnen :
-
yaaqut :
buzurg'tarin wa nehaayat sharaf waala hai -
aqiq :
khoda aur hamaare liae khalis'tarin hai -
firoza :
dekh ne waale har momin wa momena ke liae khush'haali wa taro taazgi hai
binaaei ko qawi, sine ko kushaada aur quwate qalb me aezaafa karta hai -
chini hadid :
(Hematite) ahle shar (dushman wa ashraar) ke shar se bachaata hai... -
dur're najaf :
imaame saadiq (عليه السلام) farmaate hain :
jo is ko pahne aur is ki taraf dekhe to khoda har nazar wa negaah par ambiya aur saalehin ka ajr deta hai. agar hamaare shi'on ke liae rahmate khoda na hoti to ye is qadr mahnga (geran) ho jaata ke qaabile kharid na hota lekin khoda ne aasaan ( sasta ) kar diya taake shi'on me amir wa gharib sabhi pahnen
( tahzibul aahkaam jild 6 p 37 baab fazlulkufa)
Note:-
-
aqiq ka asli maadan yemen / san'a me hai albatta Basra waghairah aur hindustaan me bhi hai
in me sab se behtar aur taakid kiya gaya yamani aqiq hai - aqiq ka jo asar wa faaeda bataaya gaya wo dawa ke asar ki tarah khoda-wande aalam ki aenaayat hai. dawa faaeda karti hai is me ye taasir khoda ne rakhi hai lekin momkin hai baaz wojuhaat ki bena par kisi ko faaeda na ho. aqiq bhi isi tarah hai
- mazid tafsil ke liae hilyatul'mut'taqin fasl 3 fazilate aqiq molaaheza farmayen
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔18 / جمادى الثانى / 1439ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment