sawaal az:-.....
Salamun Alaikum Maulana sahab
Ek sawaal tha humara shaadi ke muttaliq
Agar hum kisi se shaadi karna chaahte hain or humne istekhaara dekha bohot pahle jo ke mana aya tha istekhaara.
Lekin ab hum wohi rishtey jo pahle aya tha usi se shaadi karna chahre hain to kya ye shaadi kar sakte hain jab ke pahle istekhaara mana ayaa tha
Kya iska koi gunaah hain agar usi rishtey se shaadi krein to
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهShaadi aur zan-o-shauhar ka intekhaab wa khaanwaade ki tashkil bahot mohim hai, khel nahi
lehaaza jazbaati wa haijaani aeraade wa aeqdaam se parhez behtar hai
sab se pahle aql-o-fikr aur tahqiq ke zariae dekhen ke aaya ye rishta mere liae monaasib hai ya nahi ?
agar aql-o-fikr aur tahqiq ke baad kisi natije tak nahi pahunch paaye to qaabile itminaan, amin, mazhabi aur baa'khabar wa aagaah shakhs se mashwera karen ke folan jagah shaadi karna mere liae behtar hai ya nahi ? agar is ke baad bhi kisi natije tak nahi pahunch paaye to do-dil wa hairaan hain yaani aap doraahe par khade hain, nahi maalum kis taraf jaa'aen, folaan jagah shaadi karen ya na karen to is surat me istekhaara hai dar haqiqat ye aek tarah ka khoda se mashwera karna hai ke folan rishta mere liae monaasib hai ya nahi?
is se khair, bhalaaei aur behtari ke liae madad talab karna hai
asl jawaab :
istekhara aaye ya mana ho is par amal karna waajib nahi hai, lehaaza agar istekhara aagaya is ke baad bhi amal na kare to gunaah nahi hai aur agar mana aa gaya is ke baa'wojud kare to gunaah nahi hai
lekin hat'talimkaan behtar hai istekhaara ke bar khelaaf na karen is liae ke momkin hai baad me afsos wa pashimaani ka sabab bane
baaz orafa wa olama ke ba'qaul :
"me ne apni zindagi me baaraha tajreba kiya hai ke istekhara sirf do-dili, tazabzub aur shak-o-tardid se nejaat haasil karne ke liae nahi hai balke kashfe haqiqat bhi karta hai yaani istekhaare ke zariae haqiqat zaahir wa maalum ho jaati hai"
isi liae behtar hai istekhara kisi mut'taqi, parhezgaar aur maahir-e- istekhara se dekhaana chaahiae
bahar'haal agar istekhara dekhaye kuchh arsa guzar gaya hai to sad'qa de kar shaadi kar sakte hain, shar'an gunaah nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
28 / جمادى الثانى / 1439ھ.ق
Subscribe us on youtube