sar me oil laga ho to wazu nahi hota App is baare me tafseel se bata dijiye - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 8, 2018

sar me oil laga ho to wazu nahi hota App is baare me tafseel se bata dijiye

sawaal az:......

Assalam-o-Alaikum kasai hain app
hamey ek
 sawaal karna tha ki sar me oil laga ho to wazu nahi hota App is baare me tafseel se bata dijiye shukariya Wsalam RAZA


jawaab

                           باسمه تعالی

          عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


wozu ke sahih hone ki eak shart ye hai ke Aazaye wozu par paani pahunche , Aazaye wozu me se eak juzv sar hai is par ous Aabe wozu ki rotubat wa tari se mas'h karna zaruri hai jo hathon  par baqi rah gai hai

lekin jis tarah sar ki khaal par paani pahunchana zaruri nahi hai ousi tarah sar ke balon par bhi paani pahunchana wajib nahi hai. balke in dono ( baal - khaal ) me se kisi eak par paani pahunch jaye kaafi hai. lehaza sar ke Agle hisse ke baalon par mas'h (مسح) karen ya sar ki khaal par

Agar baalon par is qadr tel laga hai ke is par paani pahunch'ne me rokaawat hai to khaal par mas'h karen our agar khaal par is qadr tel laga hai ke is par paani pahunch'ne me rokaawat hai to Agle hisse ke baalon par mas'h karen agar dono ( baal - khaal ) par is qadr tel laga hai ke in par paani pahunch'ne me rokaawat hai to tel ko ba qadr-e- zarurat bar'taraf wa juda karen ta ke paani pahunch sake.

agar mokhtasar tel laga hai , baal ya khaal par pani pahunch'ne me rokaawat nahi hai to koiy haraj nahi hai dono me se kisi eak par mas'h kar sakte hain


Note:

Agar sar ke agle hisse ke baal is qadr bade (baland) hain ke kanghi(کنگھی) karte waqt chehre par Aa jate hain ya sar ke dusre hisse par chale jaate hain to is surat me zaruri hai ke baalon ki jad (جڑ) par mas'h karen ya baalon ko hata kar maang (مانگ) yani sar ke baalon ke bich ki lakir par mas'h karen

bahar'haal tel is qadr  zeyadah na ho ke wozu ka paani pahunch ne se roke. Agar tel , maane yani paani pahonchne se rokne waala hai to wozu baatil hai


والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad /patna - shoba-e- sawaalat Qum / iran
5 / جمادى الاولی / 1439ھ.ق


روز ولادت باسعادت عقيله بنى ہاشم ، شريكة الحسين جناب زینب(سلام الله عليهم) تمام برادران مخصوصا خواہران گرامی کو بہت بہت مبارک ہو


.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen