Keya nazr-o-neyaaz ki aezaafi chiz phekna gunaah hai ? | ous rumaal ki ahamiyat jis me ghame shabbir me nikle aansu khushk huae hon - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 8, 2018

Keya nazr-o-neyaaz ki aezaafi chiz phekna gunaah hai ? | ous rumaal ki ahamiyat jis me ghame shabbir me nikle aansu khushk huae hon

Sawaal az : ...


Salamun alaikum wrb
Molana baad kheriyat ke


Kya un chizon ke chhilke ya koi bhi chiz jo khoraak nahi hai
aur kisi nazr ya niyaaz se gir jay ya fekne waali ho
wo chize agar ham fenk dete hai to kya us par gunah hai ya ishkal hai
Jese kele ya seb par nazr ki uske chhilke.


ya ghame Imaam Hussain a.s Me aansu jo rumaal ya mindil kaagaz se saaf kiye chehre se.


Hame bata kar hamare ilm me izafa kare
Shukriya


Jawaab


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمة الله وبركاته


  1. Fiqhi jawaab :

  2. agar khane waali na ho ya kaam me laane ki chiz na ho to koei haraj nahi hai aur gunaah bhi nahi hai


  3. Ourfi wa akhlaaqi jawaab :

  4. Ba'sharte ke khelaafe shari'at na ho, moqaddas din islaam me maaqul, ourf wa rasmo rewaaj ka bahot bada maqaam hai, aur momenin ke darmeyaan aiysi chizon ke aehteraam ko ach'chhi aadat aur pasandida amal bhi samjha jaata hai


    dusre ye ke kudedaan (کوڑے دان) waghairah me daalne se momkin hai kisi momin ki aziyat, taklif aur dukh ka baa'aes bane is liae ke kude me daalna momin ke nazdik be'aehteraami hai lehaaza aiysi surat wa haalaat ke peshe nazar kude waghairah me daalne se aehteyaat wa parhez behtar hai. ayisi chizon ke liae kisi monaasib jagah ka intekhaab karen, lekin momin ke nazdik agar kude me daalna be'aehteraami na ho to akhlaaqi wa ourfi aetebaar se bhi kude me daalna naa'pasandida kaam nahi hai


Jawaab - 2


Maasumin makhsusan Imaame Hussain (عليهم السلام) ke gham me nikle aansu jis rumaal ya ... me khushk karte hain wo moqaddas hai aur ous ki bahot ahamiyat hai. fiqhi aetebaar se oun ko kahin daalne me koei haraj nahi hai aur gunaah bhi nahi hai


lekin bahot sare olama, foqaha aur Mohibbine Ahlebait (عليهم السلام) ki sirat thi ke 2 makhsus rumaal rakhte the. 1 safed aur dusra kaala. jab bhi ghame Imaame Hussain (عليه السلام) me giryaah karte the ya majlis me jaate the to wo rumaal apne saath rakhte the. safed rumaal se naak aur pasina waghairah pochhte the aur kaale rumaal me aansu khushk karte the aur wasiyat karte the ke Imaame Hussain (عليه السلام) ki azaadaari wa gham me nikle aansu jis rumaal me khushk kiye hain ous ko kafan ke saath qabr me mere sine par rakh diya jaa'ae take azaabe qabr aur azaabe qeyaamat se amaan mile


maujuda baaz olama wa foqaha bhi aek makhsus rumaal rakhte hain aur azaaye Imaame aali'maqaam ke gham me nikle ashk ko ous me mahfuz kar lete hain taa ke aakherat ke liae zakhira ho


Imaame sajjaad (عليه السلام) ke baare me hai :


shaam se rehaaei ke baad Ahle Haram ka qaafela jab Madine pahunchne waala tha to Janaabe Mohammad Hanafiyah isteqbaal ke liae chale aur baland aawaaz me is qadr giryah kiya ke behosh ho kar asp (گھوڑے) se zamin par gir gaye. aap ka ghulaam jaldi se Imaame Sajjaad (عليه السلام) ke paas gaya aur maajra bayaan kiya,
ous waqt Imaam ke haath me kaala kapda (rumaal) tha jis me aansu kushk kar rahe the aur jab apne chacha Janaabe Mohammad Hanafiyah se masaa'aebe karbala bayan kar rahe the to ous dauraan bhi ousi kaale kapde (rumaal) me apne aansu kushk kar rahe the


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawalaat - Qum / Iran


29 / ربيع الثانى / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen