Kya koi ladki kisi ko love karti hai to kya wo us ladke se shadi ke liye dua kar sakti hai? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 8, 2018

Kya koi ladki kisi ko love karti hai to kya wo us ladke se shadi ke liye dua kar sakti hai?

Salaamun alequm

Janab apse sawaal hai

Kya koi ladki kisi ko love karti hai to kya wo us ladke se shadi ke liye dua kar sakti hai

 Ek question hai ki agar ladka aur ladki aapas me baat Karen lekin koi glat baat na ho to kya glat hai baat karna
Or kiya facebook whatsapp par baat ho sakti hai ki nahi


Wsalaam

jawaab :
                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

(1) ji kar sakti hain koiy haraj nahi hai

lekin khoda se kahen mere haq me jo behtar hai wahi ho is liye ke Allah behtar janta hai bhalai wa aafiyat kis me hai

Surah-e-Baqarah 216 me hai


" ...momkin hai ke aek chiz tumhen naagawaar guzre magar wahi tumhare liye behtar ho , jaisa ke momkin hai aek chiz tumhen pasnd ho magar wo tumhare liye buri ho (in baaton ko) khoda behtar janta hai our tum nahi jante ho "


(2)

1. fiqhi jawaab:

Agar lazzat (jinsi) ka aerada na ho ya fitnah , fasaad our gunah me padne ka khaouf na ho to maamul ke motabiq ba'qadre zarurat zaruri baat chit kar sakte hain jaise ilmi wa mazhabi maalumaat baaham mobadelah karna...

2. Zamini haqaayeq ke motabiq jawaab:

Shadi ke pahle baat chit online ho ya Chat karna ho ... aam taour par gunah , fasaad our tabaahi ka pesh'khayma wa moqaddema hai. in chizon ki wajah se bahot saare jawano ki zindagi our khaandaan tabaah ho gay

lehaaza har tarah ki baat karne se aehteyaat wa parhez behtar hai. ye kah kar ke koiy galat baat nahi hoti hai tarafain khud ko dhoka na den do na mahram ke darmeyan tisra shytaan hota hai.

Surah-e- Ahzaab 32 me hai

" ...narm lehje me baaten karne se jis ke dil me bimari hai wo laalach me pad sakta hai "

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari khadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

3 / جمادى الثانی / 1439ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen