Salaamun alequm
Janab mera sawaal tha ki
kiya chand-grahan ke waqt kuch kha pi nahi sakte or kiya pahle se jo khane bane hain unhein fek dena chahiye wo chand-grahan ke baad nahi kha sakte
Wsalaam
jawaab:
باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
suraj gahan our chaand gahan ke waqt khaane , pine , pakaane aur haamela khawaatin ke baahar jaane me koei haraj wa noqsaan nahi hai
ye sab nojumi ( setaaron ka elm jaan'ne waalon ) ki bakwaas wa khorafaat hai
koei chiz pahle se paki ho ya is ke darmeyaan kha sakte hain. phek'na israaf wa gunaah hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawalaat Qum / Iran
13 / جمادی الاولی /1439 ھ.ق