kisi ne Khud Ke liye gold Ke set kharida to Kiya Usper Khums wajib hai? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Friday, February 16, 2018

kisi ne Khud Ke liye gold Ke set kharida to Kiya Usper Khums wajib hai?

Sawal

kisi ne Khud Ke liye gold Ke set kharida to Kiya Usper Khums wajib hai?

‬ Salam

 Sawal  ek shakhs Ke pass gold Ke sikke hain to Kiya Usper zaakat wajib hai Koi insaan ne silver Ke sikka Liya hai to Kiya US pe Khums or zaakat hai
Agr use kr Liya hai to Khums nahi Hai?

 Kaun se gold Ke sikke or Kaun se silver sikke pe Khums or zaakat wajib Hai?

*jawaab*

                          باسمه تعالى  

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

*(1)*
agar is ki meqdaar rasm o revaaj wa dastur(maamul)ke motabiq ho our ous ke layeq wa monasib(shayaane shaan)ho to waajib nahi hai

*(2)*

*1)* raayejul waqt sikke ki surat me ho,sikka chal raha ho yani in ke zariye paiyson ki tarah baaqayedah len den (kharid o farokht) ki jaati ho (is waqt hamaare mulkon me aiysa nahi hai)

*2)* mokallaf (baaleghah) ki milkiyat me pura saal guzar jae

*3)* hadde nesaab tak pahunch jae yani is ki meqdaar itni ho jis par zakaat vaajib ho jaati hai

*agar ye tino sharten paai jaa rahi hain to zakaat vaajib hai agar ye tino sharten maoujud na ho to dena vaajib nahi hai*

*(3 - 4)*

agar upar ki tino sharten paay ja rahi hain to zakaat hai lekin agar ye sharten maoujud nahi hain masalan koiy khaatun is ko batoure zinat haar ya anguthi (انگوٹھی) vaghairah ke tour par istemaal karti hon to zakaat nahi hai

shauwhar ki taraf se bataoure hadiya diye gaye zewaraat agar istemaal me hon to khums nahi hai lekin agar istemaal na kare our is ko bech de to  khums dene ka jo saal hai ous me is ka khums dena zaruri hai
our agar saal ke darmeyaan apni aamdani se zewaraat kharide hain to khums nahi hai lekin agar bech den to khums dena zaruri ho jaega

*Note :*

*sona wa chaandi me se har aek ke liye shariaat me 2 nesaab moaiyan hai  is se our dusre omur se mota'alliq tafsil ke liye touzihul masaayel se roju karen*
والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
25 / جمادى الاولى / 1439ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen