Jo nabi s. a. W or baqi nabi ko imamat q nhi mili? Or in 12 imam ko nabowat q nhi mili? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 8, 2018

Jo nabi s. a. W or baqi nabi ko imamat q nhi mili? Or in 12 imam ko nabowat q nhi mili?

Salam
Sawal

Jo nabi s. a. W or baqi nabi ko imamat q nhi mili? Or in 12 imam ko nabowat q nhi mili?
Ye sawal kisi n mujhse Kiya h?

*jawab*
عليكم السلام و رحمةالله
Nabuwat ، Resalat our imamat bahot mohim wa tafsili maouzu hai is ta'alluq se badi badi hazaron ketaben likhi gaiy hain har aek ke matlab ke bare me bhi bahas tafsili hai tamam baaton ko nazar andaz karte hue jawab molaheza farmaen

*(1)*

oululazm paygambar (janabe nuh , ibrahim , musa , eisa our rsule akram صلوات الله عليهم) ko imam banaya gaya. in ke aelawah dusre Anbiyaa ko bhi imam banaya gaya , jayse janabe Lut , ishaaq our yaqub
(surah Anbiyaa aayaat 69 - 73)

Tamam Anbiyaa maqam wa martabe ke aetebar se barabar wa yaksan nahi the
khoda ne baaz ko baaz par fazilat di (israa 55)

lehaza jis me leyaqat thi khoda ne ous ko imam banaya
janabe ibrahim jayse azim nabi ko mokhtalif imtehan our aazmane ke bad aakhri oumr me imam banaya(Baqarah 124)

*aek dil chasp rewayat ka zikr monasib hai :*

imame sadiq (عليه السلام) farmaten hain (naqle mafhum) :

khoda wande aalam ne janabe ibrahim ko nabi banane ke pahle abd(bandah) banaya our rsul banane ke pahle nabi banaya our khalil(doust) banane ke pahle rasul banaya our imam intekhab karne ke pahle khlil banaya 
jab ye tamam maqam wa martabe aek dusre ke bad janabe ibrahim me jama hogaye tab khoda ne kaha mayn tumhe logon ka imam banane wala hun
(osule kafi jild 1 ketabul hujjah - p 175)

*(2)*

*12 imamon ko nabuwat keyon nahi meli?*

is se mota'alliq sab se pahle ye bata dun ke jab rasule gerami (صلى الله عليه وآله)par nabuwat khatm hogayi to ba'hukme khoda imamat ka silsila shuru huwa our is me shak nahi ke nabi wa rasul ke tamam sharayet wa sefaat 12 imamon me mauwjud hain

*1-* imamat ka maqam wa martaba nabuwat wa resalat se baland wa baalatar hai dalil surah-e- Baqarah ki aayat 124 hai

janabe ibrahim nabi wa rasul banne ke bad imam muntakhab huye , agar nabuwat wa resalat maqame imamat se baland hoti to pahle imam banata phir nabi wa rasul

jab khoda wande aalam ne 12 imamon ko imam bana diya to nabi wa rasul banane ka matlab darja wa martabe se outarna huwa
qaabeliyat wa ahliyat ki bena par khodawande aalam ne baraherast aap hazrat ko imam banaya lehaza imam banane ke bad nabi wa rasul banana maqul nahi hai

*2-* nabi , rasul our imam kaoun ho ya inki tadad kitni ho?
ye sab khoda ke aekhteyar me hai. surah Baqarah 124 me khoda ne kaha ibrahim ko imam banane wala hun is se sabit hota hai ke mansabe nabuwat , resalat our imamat ka intekhaab khoda hi karta hai is ne 124000 anbiya  banae to nabi ban gae aur 12 imamon ko imam banaya to imam ban gaye. imamat maourusi nahi hai agar aiysa hota to nasle imame hasan (عليه السلام) me imamat hoti imame husain (عليه السلام) ki nasl me na hoti

khoda behtar janta hai ke nabi , rasul our imam ki taadaat kitni ho our kis ko nabi , rasul our imam banaye

"...allah behtar janta hai ke apni resalat kahan rakhe..." ( An'aam 125)

*aakhir me aek mohim matlab ki taraf eshara kardun , wo ye hai ke rasule aazam (صلى الله عليه وآله) ke aelawah 12 imam (عليهم السلام) tamam Anbiyaa our rasul se afzal wa bartar hain. bartari par bahot sari aqli wa naqli dalilen maouwjud hain sirf 3 naqli dalilon ki taraf eshra karta hun :*

*1-* khoda ke isme aazam 73 harf hain in me se aasif bin barkhiya ko aek harf , janabe eisa ko 2 harf , hazrat musa ko 4 harf , hazrat ibrahim ko 8 harf , janabe nuh ko 15 harf , janabe aadam ko 25 harf our rasule akram ko 72 harf diye gaey. rasule gerami ke 12 barhaq jaanashin ke ekhteyar me yahi 72 harf diye gaye.
2 harf ke zariye janabe eisa murdon ko zindah karte the our marizon ko thik karte the ... our eak harf ke zariye janabe Aasif ne chashm zadan me takhte bilqis ko hazir kiya ...
is tarah ki hadisen asrare imamat wa welayat me se hain inko samajhna Aam insan ke bas me nahi hai.

*2-* shia wa sunni ki motabar ketabon me ye hadis hai
rasule khoda(صلى الله عليه و آله) wa aamirulmomenin ali (عليه السلام) ne farmaya :

ham ahlebait par kisi ka bhi qeyaas nhi kiya jasakta :
*" نَحنُ اَهلُ بَیت لا یُقاسُ بِنَا اَحَدُ "*

*3- shia wa sunni ki motabar hadison ke motabiq jab imame zamana (عجل الله فرجه)ka zohur hoga to janabe eisa jaiyse azim nabi aap ki eqteda karengen*

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e-darul etrat Azim Aabaad/ patna, shoba-e-sawalaat Qum/ iran
28 / ربيع الثانى / 1439ھ.ق

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen