Sawaal az : .....
- Sawal :
- sawaal :
aek khatun ki namaz qaza ho chuki hai ab wo chahti hain ke usko pura karen lekin wo job karti hain aur unke paas itna waqt nahi hai ki wo ghar pe ada namaz ke baad qaza namaz padhe is liye jab wo job ko jaati hain to unko kuch time milta to hai taqreban 1 ghanta jisme wo chahti hain ke wo qaza namaz ko padhe lekin wahan pe aise system nahi hai ke wo harkat ke saath namaz padhen. to kiya wo aankh ke ishaare se qaza namaz padh sakti hain ?
aur agar padh sakti hai to iski niyat kya hogi ?
aur kiya nazar wa ahad ki namaz jo kabhi maani ho to us wajib namaz padhne me ye bhi niyat kar ke ada kar sakte hain
Jawaab :
عليكم السلام و رحمةالله
- qaza namaaz padhne me kotaahi wa susti nahi karni chaahiae lekin fauran padhna waajib nahi hai lehaaza jab bhi waqt mile, raat me ya din me, padh len hatta safar me bhi padh sakti hain
- wo namaaz jo nazr ya ahd ke zariae waajib huei hai bataure mustaqil padhna zaruri hai
2 alag alag namaazon ko aek kar ke nahi padh sakti hain, masalan namaaze subh qaza hai aur namaaze nazr to namaaze subh alag padhen aur namaaze nazr alag
namaaze subh ko namaaze subh ki niyat se aur namaaze nazr ko namaaze nazr ki niyat se padhen
aeshaare se namaaz padhna oun logon se makhsus hai jo khade ho kar ya baith kar nahi padh sakte, jaiyse bimaar ya budhe ...
Note :
- jo 4 rak'ati namaaz safar me qaza huei to ous ko watan me 2 rak'at hi padhen aur jo watan me qaza huei ous ko safar me 4 rak'at hi padhen
- nazr wa ahd me segha jaari karna zaruri hai tab nazr wa ahd sahi hai aur nazr wa ahd ke motaabiq amal karna waajib hai
segha kisi bhi zabaan me jaari karen sahi hai
nazr me kahen, masalan mera folaan kaam ho gaya to khoda ke liae mujh par zaruri hai ke 2 rak'at namaaz padhun ya 100 rupiya zarurat mand ko dun
ahd me masalan kahen ke khoda se ahd kiya ke aisa karun
tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna, shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
24 / ربیع الثانی / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment