Salam
Sawal!
Agr Koi shakhsh Apni kisi baat ko chhupne ki koshish kre to Kiya Dosra shakhs 12 imam K wasta dekr ya ahelbait K wasta dekr Usse wo baat pochh sakta h Kiya aiymma K wasta dena Sahi h?
Agr raaz nhi only Koi normal bat ho
*jawaab*
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Sawaal ki do surat ho sakti hai
*(1) khud wa bazaat-e- khaas waasta dena kaiysa hai?*
*(2) waasta dene ke baad koiy baat batane ka hukm keya hai?*
*1)* waasta dena haraam nhi hai waasta de kar koiy bhi baat puchi ja sakti hai agar mohim wa aali maqaasid ko hasil karne ke liye ho to behtar hai jaiyse samaaj o moaashere our auwlaad wa khaandaan ki islaah wa tarbiyat ke liye waasta de kar koiy baat puchi jae. momkin hai is tarah ka waasta dena ba'yese sawaab bhi ho
*Aayaat wa rewaayaat ke motabiq haajat puri hone , gunaahon ki moaafi ke liye 14 maasumin makh'susan dokhtare rasul-e- khoda janabe saiyedah(سلام الله عليهم) ko waasta wa vasila qaraar de ne ki bht taakid ki gaiy hai isliye ke khoda ke nazdik in ki Aisi Aazmat wa Aahamiyat hai jis ki vajah se in ke zariye wa waaste khoda mushkilaat wa masaael ko hal karta hai*
*2) waasta dene ke baad koiy baat batane ka hukm*
dekh'na hoga ke kis tarah ki baat puchi ja rahi hai
Aagar batana mofid hai to batane me koiy haraj nahi hai misaal ke taour par kisi ne shadi karne ke liye kisi ladke wa ladki ya in ke ghar vaalon ke baare me pucha to ba'qadre zarurat zaruri baaten bata sakti hain balke bataana behtar hai
Aagar buraaiy wa Aib hai to is ko bataana ghibat nahi hai
khoda na kare koiy sharabi hai ya takhrib'kaari karna chahata hai... Agar is ke ghar vaalon ya kisi Aiyse se bataya jae jo is ki islaah wa hedaayat kar sakta hai to sharaayet wa haalaat ke peshe nazar batana zaruri wa wajib hai
lekin batane me noqsaan hai ya koiy fayeda nahi hai , masalan koiy baat batane se fasaad , jang our jhagra ho ya kisi ne Aap ko Amin samajh kar mushkelaate zindagi ka zikr kiya ya apna raaz bataya to is tarah ki baaton ko batana Aamanat me kheyaanat hai our haraam hai
insaan ki zindagi me baaz gunah ho jate hain
koiy dost apne dost se kahe tum ne jo gunah kiya hai batao.
makh'susan baaz shauhar ya bivi kah te hain koiy raaz hai ya gunah kiya hai to batao. is se baahami aetemaad zeyadah hoga
aiyse maqaamaat par bhi gunah ko batana gunah hai our haram.
bande ko haq nahi hai ke apne gunah ka zikr kisi se kare
batane se aetemaad ka rishta taar taar ho jae ga
Albaatta khoda wa Ahlebait-e- rasul our mashvere wa rahnumai ki khatir Amaanat rakh ne wale se bataya ja sakta hai
*jawaab ka khulasa*
*Agar batane me maaqul faayeda hai to batana waajib wa mustahab ho sakta hai agar noqsaan hai to haraam wa makruh ho sakta hai our fayeda wa noqsan na ho to mobah ho sakta hai*
*tash'khis dena aap ka kaam hai*
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
Subscribe my channel
11 / جمادى الاولى / 1439ھ.ق
No comments:
Comment