Agar zohar ya asar ki Namaz me rakat me shak ho k 3 pari hn ya 4 ya 4 pari hn ya 3 to is surat me kia krna chahiye? - Edaara-e-darul itrat
ماه رجب میں صبح و شام پڑھی جانے والی دعا کی فضیلت | داڑھی پکڑنے | انگلی حرکت دینے کا طریقہ | اس کی حکمت ماہ رجب میں "داعی" فرشتہ کس کو آواز دیتا ہے اور کیا کہتا ہے ؟
Maahe Rajab me subh-o-shaam padhi jaane waali doa ki fazilat | daadhi pakadne | oungli harkat dene ka tariqa | is ki hikmat Maahe Rajab me "Daa'ei" farishta kis ko aawaaz deta hai aur keya kahta hai ?

Thursday, February 8, 2018

Agar zohar ya asar ki Namaz me rakat me shak ho k 3 pari hn ya 4 ya 4 pari hn ya 3 to is surat me kia krna chahiye?

Aslam o Alakum
Mashallah ap bauhat achy swalaat aur jawabaat paish krty hn jazakkalh
Mola as apko tofeeqat me azafa krem

 Aik mera b swal ha???

 Agar zohar ya asar ki Namaz me rakat me shak ho k 3 pari hn ya 4 ya 4 pari hn ya 3 to is surat me kia krna chaiy
Namaz dobara parni chaiy ya Sajda sahw kerna chaiy
 Aur 0lz sahda sahw ka tareeqa b bta dena??

*jawaab*
                           باسمه تعالى

           عليكم السلام ورحمةالله و بركاته
shukriya

4 par bena rakhen yani samjhen ke ye meri chouthi rakat hai our shak ke baad jo aamaal baqi rah gaye hain oun ko anjaam de kar namaaz tamaam karen

sajdaye sahw wa dobara namaaz padhna zaruri nahi hai
*balke namaaz ke baad eak rakat namaaz-e- aehteyaat khade hokar ya 2 rakat beth kar padhen*

*Namaaz-e- aehteyaat ka tariqa :*

Salaam-e- namaaz ke baad fouran namaaz-e- aehteyaat ki niyat karen our takbir kah kar surahe hamd padhen our roku wa 2 sajde karen

agar namaaz-e- aehteyaat eak rakat phadhni hai to dusre sajde ke baad tashahud wa salaam padh kar namaaz tamaam karen our agar 2 rakat padhni hai to dusre sajde ke baad (beghair tashahud wa salaam padhe) pahli rakat ki tarah eak rakat our padhen our tashahud wa salaam padh kar namaaz tamaam karen

*namaaz-e- aehteyaat me surahe hamd ke baad dusra surah wa qonut nhi hai faqat surahe hamd padhen kaafi hai*

*Sajdaye sahw ka tariqa :*

Salaam-e- namaaz ke baad fouran sajdae sahw ki niyat kar ke sajda karen

sajde me koiy bhi zikr padh sakte hai ( masalan subhan aallah ya subhana rabbeyal aala wa behamdeh) lekin بسم الله و باالله السلام علیک ایهاالنبی و رحمة الله و برکاته
( bismillahe wa billahe , as'salamo alayka ayyohan nabiyo wa rahmatullahe wa barakaatoh ) padhna behtar hai

sajde ke baad mokhtasar bethkar dobara sajde me jaen our jo zikr kaha gaya ous ko padhen phir bethkar tashahud padhne ke baad kahen السلام عليكم
( as'salamo alaykum )
lekin behtar hai ke السلام علیکم ( as'salamo alaykum ) ke baad
 و رحمة الله و برکاته
( wa rahmatullahe wa barakatoh) bhi kahen

والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
21 / جمادى الاولى / 1439ھ.ق

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen