Rasul-e-khuda S.A.W.W. Ke liye milta hai ki unho ne halima sadya ka dudh piya tw us waqt islam nahi tha to zaheran halima sadya musalmaan nahi thi phir ek kafera aurat ka dudh rasul-e-khuda S.A.W.W. Ne kaise piya? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, January 4, 2018

Rasul-e-khuda S.A.W.W. Ke liye milta hai ki unho ne halima sadya ka dudh piya tw us waqt islam nahi tha to zaheran halima sadya musalmaan nahi thi phir ek kafera aurat ka dudh rasul-e-khuda S.A.W.W. Ne kaise piya?

Salamun alaikum wrb

Molana kuch roz pehle j. Halima sadya se MUTALLIK sawal kiya tha

Usme aapne jawab diya tha usi jawab me sawal nikalta hai ke RASUL saww tahir najasat se dur
Aapne j. Halima sadya ka dudh piya
Us waqt islam nahi tha zaheran to j. Halima sadya musalman to nahi thi fir kafera ourat ka dudh kese piya
Wazahat kare

Mola aapko salamat rakhe
🌹🌹🌹🌹🌹

Ans:
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
janabe halimahe sadiyah ke kaferah wa mushrekah hone par koiy dalil nahi mili lehaza jo kahte hain mushrekah wa kaferah thin is par dalil la'aen.
dusre ye ke shia wa sunni ki mokhtalif ketabon me haqir ko is par bhi sobut nahi mila ke aap khoda ko ek manne wali(موحده) thin lekin baaz shawahid wa qara'aen se malum hota hai ke aap ba imaan thin in me se sirf 2 ki taraf esharah kiya ja raha hai :

*1)* rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ko dudh pilane ke liye bahot sari khawatin khahish'mand thin lekin aap ne sirf halimahe sadiyah ka intekhaab kiya our faqat aap hi ka sinah apne mobarak dahan me liya. yaqinan aap me kuch aise sefaat wa khosusiyaat thin jo dusri khawatin me nahi thin isi liye rasule Aakram(صلی الله علیه و آله) jaysi Aazim zaat ne aap ka intekhab kiya.
ye janabe musa ke waqe'aeh ki tarah hai surah Qassas ayat 12 me esharah huwa hai ke jo dayah dudh pilane ke liye bolaiy jati thi aap ous ki chahti se dudh nahi pite the ...
motabar ketabon me hai ke janabe Abdul'muttalib ne halimah ke baap se kaha tumhari beti mohammad ko dudh pilae to halimah ke baap ne pucha meri koun beti ? to janabe Abdul'muttalib ne farmaya jo sab me Aaqal'mand our ba haya ho to halimah ke baap ne bataya ke halimah Aaql ke lehaz se kamil , samajh'dari me behtar our meharban wa raastgo hain. halimah ne jab suna ke mohammad(صلی الله علیه و آله) ko dudh pilane ke liye mera intekhab huwa hai to bahot khush huiyn rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ki barkat se aap ki zindagi me khair wa barkat ki barish hone lagi (tarikhi ketabon me is ka tafsili zikr hai)

*2)*halimah sadiyah ka naam sunkar janabe Abdul'muttalib ne muskura kar kaha wah wa do(2) Aachchi khaslaten hain sa'Aadat (neki) our hilm (burd bari) inhi 2 khosusiyaton me eizzate dahar (zamana) wa eizzate Aabadi hai (sa'Aadat qabilae bani saad our hilm halimah ki taraf esharah hai) .
eizzate zamana wa da'Aemi eizzat momin wa momenah ke liye hai surah munafiqun ayat 8 me hai ...
eizzat momenin ke liye hai .

*Note:*
*kuffaar wa mushrekin ki najasat ka hukm 9 hijri me Aaya jab hazrat Ali(علیه السلام) ne tablighe surah taubah ke zariyeh kuffaro mushrekin se bezari ka Aelaan kiya( taubah ayat 28 .)*

w.salam
syed shamshad ali katokhari khadime edarae darul etrat azim Aabaad patna shobae sawalat Qum/ iran

*11ربیع الثانی 1439 ھ.ق*

Jin hazraat ko agar apna koi sawal karna hai to diye hue whatsapp number pe apna sawal kar sakte hain 
Whatsapp number :- +98 935 413 9640
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen