Agar hath ki ungli mein chot ho aur usse khoon arah ho or itna ki patti bhandne ke bd patti bi tar ho jy to usme wazu kese kare or tayamum kese kren agr ungli ko grd or mitti se bachana ho to - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, January 4, 2018

Agar hath ki ungli mein chot ho aur usse khoon arah ho or itna ki patti bhandne ke bd patti bi tar ho jy to usme wazu kese kare or tayamum kese kren agr ungli ko grd or mitti se bachana ho to

Salaamun alequm
Janab mere apse kuch sawalat the

Q1. Agar hath ki ungli mein chot ho aur usse khoon arah ho or itna ki patti bhandne ke bd patti bi tar ho jy to usme wazu kese kare or  tayamum kese kren agr ungli ko grd or mitti se bachana ho to

Q2. Kiya kaafir ke hath se sb kuch khana haram hai maslan kisi kaafir ne gift me chocolate ya  company se pack box sonpapadi wagera Ka new year ke moke pr to
Ya dukan se packed sweets wo bhi nhi khaya ja sakta hai.

Q3. Janab meri kuch namaaze qaza hain kuch mgrib or isha to kiya unko unke  order me hi pdnA pde ga yane mgrib esha kr k ki kese b pd sakte hain

Wsalaam

*Ans:*
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
*(1)*

 1) agar namaz me waqt hai to sabr karen jab khun bnd ho jaye to pak karne ke bad vozu karen

2) khun band nahi ho raha hai our zakhm ke liye pani noqsandeh nahi hai to patti khol kar is trah vozu karen :
vozu ki tartib par Aamal karte huwe sahi wa saalim hisse ko dhone ke bad zakhm ki jagah ko Aabe kur ya Aabe jaari (Aabe jaari jayse supply ka pani) me   le jayen our zakhm ko mokhtasar dabayen take khoun band ho jaye our pani ke andar hi zakhm par oungli ko oupar se niche ki janip pheren take is par pani jaari ho jaye is ke bad zakhm ke niche ka hissa dhoyen
(touzihul masaael Aayatullah sistani masla no 278)

3)Aagar patti kholna sakht wa dushwar hai our khoun se najis bhi hai to tartib ki reyayat karte huwe jahan patti nahi bandhi hai is ko dhone ke baad patti par pak kapda rakh kar Aaabe wozu se tar haath is par pheren (mas karen)

4) Aagar wozu nahi kar sakte masalan zakhm ki vajah se pani nouqsandeh nahi hai balke kisi our vajah se nouqsandeh hai to tayammum wajib hai tayammum bhi ousi trah kren jis tarah wozu me bataya gaya hai patti par pak kapda rakh kar (tayammum ka)haath pheren
7 maqamaat par wozu wa gusl ke bajaye tayammum wajib ho jata hai
tafsil ke liye tauzihul masaael dekh len

*(2)*
*mokhtasar jawap*
jab tak najis wa haram hone ka yaqin na ho to khasakte hain
*qadre tafsili jawab*
agar kafir ka tar haath ya jism laga hai to najis hai wa khana haram, lekin Aagar najis hone par yaqin nahi hai to kha sakte hain lekin gosht ,machli our janwar ki charbi se bani chizen nahi kha sakte, magar ye ke yaqin ho ke charbi wa gosht ous janwar ka hai jo shariy tariqe se zibh kiya gaya hai our  machli Aisi hai jis ka khana halaal hai

*(3)*
2 tariqe hain
1) namaze maghrib paden phir aesha(tartib se)

2) masalan ye namazen 5 roz ki qaza hain to pahle 5 namaze maghrib paden phir 5 namaze aesha
والسلام
syed shamshad ali katokhari khadime edarae darul etrat azim Aabaad patna shobae sawalaat Qum/iran

*13ربيع الثانى 1439ھ.ق*

Note :-
Jin hazraat ko agar apna koi sawal karna hai to diye hue whatsapp number pe apna sawal kar sakte hain 
Whatsapp number:-+98 935 413 9640
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen