Aam haalaat | namaaz me bure khayaalaat se bach'ne ka tariqa | amal | zikr keya hai ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, December 10, 2017

Aam haalaat | namaaz me bure khayaalaat se bach'ne ka tariqa | amal | zikr keya hai ?

Sawaal az : .....


Salamunalaikum


Maulana zehan gande khayalon se paak rahe khaas kar dauraane Namaaz aur yun bhi iske liye kya Karen koi amal ya koi dua hai to plz mujhe batayen


Shukriya w salam


Jawaab :


عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ye aek haqiqat hai ke zehan khayalaat se khaali nahi rahta mokhtalif qism ke khayalaat aate hain oun me ach'chhe hain aur bure bhi
agar aap chand baaton ki wazaahat kar dete to bataane me aasaani hoti
kis tarah ke khayalaat aate hain ? khoda na kare ruhaani wa nafseyaati lehaaz se koei mushkil to nahi ? stress waghairah to nahi ? shaadi shuda hain ya nahi ?


Bahar'haal bataure omumi wa kulli chand raahe hal ki taraf aeshaara kiya jaa raha hai :


  1. bahot zeyaadah fikr mand na hon. gande khayalaat ko aane dijiae insha'allah khud ba khud khatm ho jaa'aen ge ye mach'chhar wa makh'khi ki trah hote hain jis qadar bhagaa'aen ge ousi qadar aa'aen ge

  2. sirf haraam fikr wa gande khayalaat ka aana haraam wa gunaah nahi hai lehaaza bahot zeyaadah has'sas hone ki zarurat nahi hai


  3. apne zehan ko khaali na rakhen hamesha kisi chiz me khud ko mashghul rakhen masalan achhi ketaaben padhen warzish karen achhe doston wa rishtedaaron se raabeta rakhen wa molaaqat karen maz'habi taqribaat me sharik hon ...
    in ke zariae zehan ki modiriyat karen

  4. khoda par tawak'kul

  5. ahlebaite ismato tahaarat se tawas'sul ke zariae khoda se madad talab karen

  6. "لَاحَولَ وَلَا قُوَّةَ اِلّا بِالله" aur "لااله الاالله" wa surahe Naas padhen aur har roz surahe Aa'raaf ki aayat 54 se 56 tak 70 martaba padhen

  7. namaaz ke dauran khoda aur jo padh rahe hain ous ke matlab par tawajjoh rahe

  8. har waqt baa'wozu rahne ki koshish karen

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran


20 / ربيع الاول / 1439 ھ۔ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen