salamun alaykum
Molana Aaj ek discuss ho rahi hai MAKKAH GROUP ME is baat pe ke Rasoole khuda ki wiladat hooi hai zahoor nahi.
To zara aap wajehe kar de Wiladat or Zahoor ke baare me.
Behtar hoga ke aap jawaab Voice recording me bheje.
Aaj ya kal tak jawaab de to barri maherbaani
Shukriya maula aap ko salamat rakhe
Ilahi ameen
*Ans:*
w.alaykum assalam wrwb
Aasl jawab ke pahle ye batadon ke wahabi wa takfiri maskharah pan me kahte hain ke shion ka Aaqidah ye hai ke masumin(علیهم السلام) rahime madar se payda nahi hote balke raan se payda hote hai(mazerat, ye baat naql karna zaruri hai) .
abdul Aziz dehlavi ne bhi apni ketab "tohfae isna Aashari" me is bat ka zikr kiya hai our Aayatullah Allamah mir haamid hussain lucknavi ne apni azim ketab "Aabaqattul Aanwaar ke zariye is ka dandaan shekan jawab diya hai .
wahabiyon ki dalil shion ki baz ketabon me maoujud ek tafsili rewayat hai jo imame zamana(عج) ki weladat ke bare me hai, ek hisse ka khulasa ye hai *:(*geyarahwen imam ne apni phopi janabe hakimah khatun se kaha : ham Aousiya ka haml shekam me nahin hota balke pahlu me hota hai our rahim se kharij nahin hote balke Aapni ma ki daheni raan se kharij hote hain(mazerat) isliye ke ham log noore khoda hain tamam kasafaten ham se duor hain. *)*
aksar olama is rewayat ko motabar nahin mante hain is par mokhtalif dalilen bhi dete hain ekhtesaar ko madde nazar rakhte huwe in ko nazar Andaaz karta hun .
lekin sawal ye hai ke Aaya masumin(علیهم السلام) rahim ke bajae ran se...
ye momkin ha, mohale Aaqli nahi hai. jab khoda janabe masih ko baghair baap ke payda karsakta hai to ye kaam bhi khoda ke liye dushwaar wa sakht nahin hai.
*lekin momenine gerami se meri darkhast hai ke masumin(علیهم السلام) ke ehteraam me aap ki kayfiyate weladat ko raaz-e-aelahi samajh kar khamosh rahin. bashar ki Aaql mahdud hai. masumin(علیهم السلام) ke maqaam wa martabe ko ham nahi samajh sakte lehaza kayfiyate weladat ke ta'Aalluq se khamosh rahin. rahim se huiy ya ...*
imam sadiq (علیه السلام) farmaten hain : jo shakhs bhi ye daawaa kare ke ham tamam chizon ko jante hain to wo diwanah hai
*Asl jawab :*
tamam hadis wa taarikh ... ki ketabon me nozul wa zohur nahi likha hai balke taarikh-e- weladat ya mahalle weladat likha hai lehaza ham bhi weladat hi kahen our likhen
weladat kahen ya zohur o nozul ye lafzi neza hai is ka koiy faedah nahi , is bahas me padne ke ba jae bhtar hai masumin ( عليهم السلام) ki sirat wa maqsad se aagaah hon
aakhir me ye batadun ke jo hazaraat weladat ke ba jae kahte hain zohur ya nozul hua to jaysa ke arz kiya ye bahas lafzi hai lehaza dekhna hoga is se in ka aeraadah wa maqsad kiya hai ?
agar maqsad wa aeradah ye hai ke masumin (عليهم السلام ) ka wojud aelaahi hai our sab noor hain , zeyarat-e- jamea wa ghairah me bhi aesharah kiya gaya hai ke aap ki haqiqat noor hai , is wajah se ham zohur ya nozul kahte hain to kahne me koiy haraj nahi hai
*lekin agar is se maqsad wa aeradah gholu ya baatil hai to kahna sahih nahi hai , ye isi tarah hai ke jab jang-e- siffin me Amirul momenin (عليه السلام) ke moqabil quraan ko nok-e- naiyzah par baland kiya gaya to aap ne farmaya :*
*" كَلِمَةُ الحَق يُرَاُد بِھَاالباطِل "*
*" kalemah wa baat haq hai lekin is se moraad wa maqsad baatil hai "*
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari khadim-e- edara-e- darul etrat Azim abad / Patna shobae sawalat Qum / Iran
19/ربیع الاول/1439 ھ.ق
Subscribe my channel
NOTE :-
Jin hazaraat ko agar koi apna sawal puchhna hai to diye gaye whatsapp number pe apna sawal puchh sakte hain
Whatsapp number :- +98 935 413 9640
Thursday, December 7, 2017
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Comment