Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Abrar Hussain Sb (Azim Aabaad / Patna)
Salam-o-alaikum wa-rehmatullahe wa-barakatahu
Mera ek sawaal hai
Maine majlis me suna ke Rasoole khoda ke bahot sare mojize the (Subhan Allah)
Kareeb 1000 mojize the jinme 24 mojize unke jism se jude the jaise unke samne jitne bhi kad ke log atey the Rasoole khoda ke samne chhote hi dikhte the, jis jagha se guzarte the 2 roz tak us jagha tak unki khushbu rehti thi, unke badan se noor jhalakta tha. usi me ek ye suna ke unke jisme mobarak per mohare nubuwat (Mohammadar Rasool-ul-allah) likha hua tha
Hawala Allama Baqir Majlisi ki kitab Haq ul yaqeen hai.
Is mohar-e-nubuwat ko thoda wazeh kar dijiye.
Khoda aapko mazeed ajr-o-sawaab se nawaze
Wassalam
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aap ne jin baton ki taraf aeshaarah kiya hai sahih hain baaz motabar ketaabon me chaar hazaar chaar sauw chaalis (4440) bhi mojezaat bataa'ae ga'ae hain lekin teen hazaar (3000) ka zikr hai waiyse Rasule geraami (صلى الله عليه و آله) ka tamaam qaul wa fel wa puri zindagi mojezah hai.
Aap ki mohr se morad 2 chizen ho sakti hain :
- Anguthi :
- Mohre Nabuwat :
- Jaabir Bin Samorah kahte hain Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ke dono shaano ke darmeyaan narm haddi ki tarah mohr dekhi jo kabutar ke ande ke baraabar thi
- Ye bazaahir oubhre huae gosht ki tarah thi :
- Manaaqibe Aale Abi Taalib al maaruf ba shahar aashub jild-1 page-124
- Muntahal Aamaal jild-1 taalif Janaab Allaamah Shaikh Abbaas Qumi
- Sonanun Nabi taalif mofassir wa filsuf Allaamah Mohammad Hussain Taba Tabaa'ei
- Kamaaluddin wa tamaamun nemah jild-1 taalif mohaddis Allaamah Shaikh Saduq
- Behaarul Anwaar jild-16 page-177 taalif Allaamah Majlesi nashir al'wafa
is ke oupar "Mohammadar Rasulullah (محمد رسول الله)" [Mohammad Allah ke Rasul hain] aur niche "Aliyun Waliyullah (علی ولی الله)" [Ali Allah ke wali hain] kandah tha dar haqiqat ye mohr (anguthi) mohre hokumat thi khat waghairah likhne ke baad dast'khat ki jagah lagaa'ei jaati thi
wo naqshe nabuwat hai jo Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ki pusht par dono kandhon ke darmeyaan tha jab lebaas wa reda hataa'ei jaati thi to ous se suraj ki tarah noor zaahir hota tha aur ous par ye aebaarat likhi thi :
لَا اِله اِلّا الله وَحدَه لَا شَرِيكَ لَه تَوَجَّه حَيثُ شِئتَ فَاَنتَ مَنصُور
khoda ke sewa koei parastish ke qaabil nahi, khodaa'ae ta'aala akela hai is ka koei sharik nahi (ay Rasul) jis tarah chaaho tawajjoh karo (jis taraf chaaho tawajjoh wa rukh karo) aap ki madad ki jaa'ae gi.
Is se mota'alliq rewaayaat me mokhtalif baaton ka zikr hai sirf 2 ko bayaan kiya jaa raha hai :
Janaabe Asma Binte Oumais kahti hain Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ki maut (shahaadat) ke baad ye mohr outha li gaei to yaqin ho gaya ke aap inteqaal farma chuke hain.
ye mohr, nabuwat ki sefat, alaamat aur neshaani thi.
khat waghairah likhne ke baad mohr lagaate hain jis ka matlab ye hota hai ke khat tamaam ho gaya is ke baad kuchh nahi likhna hai shaayad eisi tarah mohre nabuwat thi jis ka matlab ye ho ke aap par nabuwat ka silsilah khatm ho gaya ab koei nabi nahi aa'ae ga
aekhtetaam par ye arz kar dun ke Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) meyaana qad the lekin ye aap ka mojezah tha ke darmeyaani qad hone ke baa'wojud agar aap logon ke darmeyaan khade hote the to aap ka mobaarak sar sab se zeyaadah ouncha nazar aata tha
Tafsili maalumaat haasil karne ke liae chand ketaabon ke naam ye hain :
Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
15 / ربیع لاول / 1439 ھ.ق