keya qaadiyaani paak hain ? | oun ke haath ka paka huaa khaana jaa'aez hai ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, December 14, 2017

keya qaadiyaani paak hain ? | oun ke haath ka paka huaa khaana jaa'aez hai ?

Sawaal az : mohtaram janaab Mohammad Reza s.b (Dubai)


Salam alykum


kya kadyani ke hath ka kuch khaya ja sakta hai. Kya wo log paak hain ?


Jawaab :


عليكم السلام و رحمة الله


agar koei musalmaan jaanta hai aur ous ke liae waazeh wa raushan hai ke aqaa'aed wa ahkaam me se folaan chiz zaruriyaate deen me se hai, deen ka juz hai is ke baa'wojud ous se is tarah inkaar kare ke ous inkaar se resaalat ka inkaar ho ya Nabi (صلى الله عليه وآله) ki takzib (جھٹلانا) ho to wo kaafir wa murtad aur najis hai


aqaa'aed me masalan qeyaamat ka inkaar ahkaam me masalan wojube namaaz wa hurmate sharaab se inkaar


lekin agar kisi musalmaan ko nahi maalum hai ya ous ke liae waazeh wa raushan nahi hai ke folaan chiz zaruriyaate deen se hai, deen ka juz hai ya maalum hai lekin ous inkaar se resaalat ka inkaar ya Nabi (صلى الله عليه وآله) ki takzib nahi ho rahi hai to kaafir, murtad aur najis nahi hai


qur'aan wa hadis me saraahat ke saath hai ke nabuw'wat, Rasule geraami (صلى الله عليه وآله) par khatm ho gaei, agar koei is ko jaanta hai aur ous ke liae waazeh wa raushan hai ous ke baa'wojud khatme nabuw'wat se is tarah inkaar kare ke is inkaar se khoda, qur'aan aur resaalat ka inkaar ho ya Nabi (صلى الله عليه و آله) ki takzib ho to wo najis hai, ous ke haathon se paka khaana waghairah se aehteyat behtar hai


bela shako shubha qaadiyaani jamaa'at wa geroh gumraah hai lekin is jamaa'at ke baani "Mirza Ghulaam Ahmad Qadeyaani" ke motazaad wa mubham aqaa'aed aur baaton ke peshe nazar kam be'zaa'at haqir ke liae ye samajhna sakht wa dushwaar hai ke oun ke kaafir wa naa'paak hone par mazkurah baala baaten saadiq aati hain ya nahi ?


lehaaza aehteyaat ka taqaaza ye hai ke oun ke haath ka paka huaa khaana na khaa'aen


waazeh rahe ke kisi ko kaafir aur naa'paak qaraar dene ke liae shia fiqh me kuchh khaas shaaraa'aet hain


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim abaad patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


24 / ربيع الاول / 1439ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen