Keya azaan wa aeqaamat waajib hai ? kab saaqit ho jaati hai ? bhul jaane ki surat me namaaz todne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, December 7, 2017

Keya azaan wa aeqaamat waajib hai ? kab saaqit ho jaati hai ? bhul jaane ki surat me namaaz todne ka hukm

Sawaal az : .....


Salamun alaikum wrb


Sawal. agar kisi ne namaz se pehle azan de di hai aur baad me aane waale ne nahi suni to kya wo fard namaz ke liye dubara azan dega zaruri hai (azan dena mustahab hai)


maula salamat rakhe


Meri ek bhai se bahas ho gai thi
mene jawab de diya tha ke azan mustahab hai wajib nahi lekin wo bhai qabul hi nahi kar rahe the yaha tak ke unho ne keh diya ke azan na di ho to namaz tod de aur azan de fir dobara namaz padhe


isi liye aap se malum kar ke unko tasalli ho jawab se aur mere ilm me izafa ho
personal me hi jawab de dijiyega
Shukriya
Khuda hafiz


Ans :


w.alaykum assalam wrwb

rozaana ki waajib namaaz (panjganah namaaz) ka waqt ho gaya to azaan wa aeqaamat kahna mustahab hai, waajib nahi hai.
panjganah namaaz ada ho ya qaza watan me hon ya safar me azaan wa aeqaamat kahna mustahab hai.


agar namaaz, jamaa'at se ho rahi hai to namaaziyon ke liae azaan wa aeqaamat kahna mustahab nahi hai jo azaan wa aeqaamat kahi gaei wahi kaafi hai.


agar koei ous waqt aaya jab jamaa'at khatm ho gaei thi lekin namaazi maujud the yaani bikhre nahi the to is surat me bhi azaan wa aeqaamat kahna mustahab nahi hai.


agar namaaz, jamaa'at se nahi ho rahi hai lekin kuchh log aek jagah jama hain oun me se kisi ne azaan wa aeqaamat kahi is surat me agar suni hai aur azaan wa aeqaamat aur jo namaaz padhne ka aeraada hai ous me faasela zeyaadah na ho to kaafi hai agar nahi suni aur faasela zeyaadah ho to azaan wa aeqaamat kahna mustahab hai.


azaan wa aeqaamat ya sirf aeqaamat kahna bhul ga'ae hain tab namaaz tod sakte hain balke azaan wa aeqaamat ke sawaab ko madde nazar rakhte huae todna mustahab hai. azaan wa aeqaamat kahne ke baad dobaara namaaz shuru karen.


Note :


aksar maraaje farmaate hain sirf pahli rak,at ke ruku se pahle tod sakte hain lekin Aayatullah Sistaani farmaate hain jab bhi yaad aa jaa'ae to tod sakte hain.
yahaan kuchh tafsilaat hain Aayatullah Sistaani ki ketaab tauzihul masaa'ael me dekh len.


waazeh rahe ke azaano aeqaamat kahne ke liae ous surat me namaaz tod sakte hain jab namaaz ka waqt tang na ho


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah


  1. Namaaz se pahle azaan aur aeqaamat kahne ka keya hukm hai ?

  2. Azaan ke waqt kutton ka bhunkna | mo'azzin wa azaan ke sharaa'aet | aadaab

  3. Jab aek namaaz ke liae azaan wa aeqaamat kah di jaa'ae to dusri namaaz ke liae kahne ka mas'ala | auraton ke liae azaan wa aeqaamat kahne ka hukm

w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


17 / ربیع الاول / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen