Sawaal az:-.........
Salamun Alaykum
Mai Job karti hu to kabhi mere kafir colleague unka Ghar ka pakka hua khane bolte hai
Kabhi bahut force karne par use bura na lage isliye thoda sa khana padta hai
Is situation me Kya 40 days ki namaz kaza ho jaati hai
Aur dusra masla yeh Hai ki Kya hum miskeen ko kaafir ke haath se bana khana khila sakte Hai sadqa me
Jawaab :-
Jawaab - 1
kafir ke ghar aur haathon ka paka hua khana nahi khaa sakti hain lekin agar na khaen to aap ko aziyat de sakte hain aur mushkelaat payda kar sakte hain jis ki wajah se zindagi sakht aur dushwaar ho jae to khaa sakti hain, is surat me gunaah nahi hai lehaaza saza nahi di jae gi, lekin najis wa haraam khane ka asar insaan ke jism wa ruh par hoga
masalan sharaab pina haraam hai lekin agar na piyen to jaan khatre me pad jaegi to pina zaruri hai, ye gunaah nahi hai, lekin sharaab pine ka asar jism wa aql par hoga, insaan ko mast kar degi, isi tarah najis wa haraam khana hai, majburi me khaa len to gunaah nahi kiya, lekin is ka asar badan wa ruh par hoga masalan ach'chhe kaamon ki tofiq aur aebaadat ki lazzat se mahrum ho sakte hain
40 roz ki namaz qaza ho jati hai, is tarah ki baat mujhe nahi mili lekin hadis me hai
jo haraam loqma khae to 40 raaton ki namaz qabul nahi hoti aur 40 roz tak doa qabul nahi hoti
Jawaab - 2
agar shia hai to sadqa de sakti hain lekin kafir ke haathon ka paka hua khana shia ko nahi de sakti hain
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim abad / patna shoba-e- sawalat Qum / iran
23 / صفر /1439 ھ.ق
Subscribe us on youtube