Salamun alaikum
Mara pahla sawaal ye hai ke..
Jo nazr-e-imaam ya nazr-e-shohdaye karbala hoti hai,use kya sirf ahle tashaa hi khaa sakte hain..? ahle sunnat ya ahle hindu nahi khaa sakte? Q ki hamaare yahan baaz jagahon par kisi ghair qoum ko aqeede se nazr-e-imaam mangne par bhi nahi diya jaata..q ki wo shiya nahi hain....ye kahaan tak sahi hai..plz iska jawaab den...
Or dusra sawaal ye hai ke kuch hindu bhaiyon ko bhi hamare juluson me alam Mubarak uthate dekha hai to kya wo alam Mubarak ko mas kr sakte hain..?
Shukriya
Was salaam
Jawaab :
alaykum assalam wrwb
Ans 1
agar nazr karne waale ne niyat ki hai ke sab ke liae hai , jo bhi imaam-e- Hussain ( علیہ السلام ) se mohabbat karta hai aur aqidat rakhta hai ous ke liae hai to sabhi khaa sakte hain , koei haraj nahi , musalmaan hon ya musalmaan na hon , lekin agar niyat ki hai ke sirf shia hi kha sakte hain to is surat me dusre nahi khaa sakte
Ans 2
alam waghairah , elaahi rasmen wa neshaaniyan ( شعائر الہی ) hain , in ka aehteraam zaruri hai lehaaza agar be aehteraami na ho to koei haraj nahin , mas kar sakte hain is liae ke momkin hai talif-e-qolub ho jaa'ae , alam waghairah dilon ko imaam-e- Hussain (علیہ السلام ) aur Aap ke Aazim maqaasid ki taraf motawajjeh karen aur imaam-e- Hussain (علیہ السلام ) ke zariae khoda ki taraf raaghib hon , aiysa hua hai aur hota rahta hai
Note
agar nazr sabke liae hai to ghair shia ko lene se nahi rokna chaahiae is liae ke momkin hai tabarruk wa nazr-e- imaam-e- Hussain ( علیہ السلام ) ki barkat se ous ki hedaayat ho jaa'ae , agar hedaayat na bhi ho to imaam Hussain (علیہ السلام ) se aqidat wa mohabbat hogi ye mohabbat ikseer hai , iska asar ye hai ke qalb-e- mahiyat kar deti hai yaani asliyat badal deti hai
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim abad / Patna shoba-e- sawalat Qum / Iran
26 / محرم /1439ھ.ق
Subscribe my channel
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim abad / Patna shoba-e- sawalat Qum / Iran
26 / محرم /1439ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment