بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
جسکا ترجمہ یہ کیا جاتا ہے
شروع کرتا ہوں اللہ کے نام سے جو بڑا رحمان اور رحیم ہے
اصل میں یہ ترجمہ ہی غلط ہے اور جب کسی کو غلط کہا جائے تو اسے اصل ثابت کرنا واجب ہو جاتا ہے
اور یہ پوسٹ بہت سے مومنین کے کہنے پر میں دوبارہ اپلوڈ کر رہا ہوں
آئیے آپکو اصل ترجمہ کی طرف راغب کرتے ہیں
اور پہلے مجھے ملاں یہ بتائے کے بسم اللہ الرحمٰن الرحیم میں شروع کرتا ہوں کہاں سے آ گیا
کیا بسم اللہ کا مطلب ہے شروع کرتا ہوں ؟
یا الرحمٰن کا مطلب ہے شروع کرتا ہوں ؟
یا الرحیم کا مطلب ہے شروع کرتا ہوں ؟
اصل ترجمہ جو کے یہ ہے توجہ چاہتا ہوں
بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
بسم اللہ کی ب کو عربی گرائمر میں کہتے ہیں قناعت اور قناعت کا مطلب ہے مدد مانگنا اگے اسم اللہ مطلب اللہ کا اسم نام تفسیرِ برہان میں مولا فرماتے ہیں نخن اسم اللہ ہم اللہ کے اسم ہے
آگے الرحمٰن مطلب رحمان اور الرحیم کا مطلب رحم کرنے والا
اب زرا ملاں مجھے یہ بتا دے اس میں شروع کرتا ہوں کی عربی کہاں سے آ گئی یہ سب علی ج کی دشمنی میں ترجمے بدلے ہوئے ہیں
آئیے مکمل ترجمہ سنیں
بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
ب کا مطلب بتا چکا ہوں مدد مانگنا
ترجمہ
میں مدد مانگتا ہوں اللہ کے اسم سے جو بڑا رحمان اور رحیم ہے
اللہ کا اسم ہے علی ج جس سے مدد مانگنی ہے ہر کام میں اور یہی رحمان اور رحیم ہے
زکر ولایت
حیدر توصیف علوی
التماس دعا
Salaamun Alequm plzz ise pad k mujhe iska jawaab bty qq ki log isko logo me fela kr gumrahi or aps me naistefaqi felane ki koshis kr reh hain plz ise pukta daleel k sath tafseel men bta den
*Ans :*
alaykum assalam wrwb
pahle ye arz kardun ke quran ki tamam aayaat aur "bismillah hir'rahmaner'rahim" ka haqiqi tarjuma kisi bhi zabaan me nahi ho sakta , isliye ke quran ke kalemaat ka matlab ousi tarah (ousi ki manind) kisi dusri zabaan me hai hi nahi , jeyse "allah" ,is ka tarjuma ho hi nahi sakta , is me khoda ke tamam naam aur sefaat jama hain , isi tarah rahmaan wa rahim hai , agar in ka matlab bayan kiya jaiy to tarjuma nahi ho ga balke tafseer wa taouzih hogi , tarjuma wa tafseer me farq ko samajhna chahye
isi liye aayaat ke niche ya aayaat ke saamne tarjuma likha jata hai
*asl jawab :*
arabi grammar aur tafseer ki ketabon me hai ke " bismillah " me *"be"* ka matlab ibteda (shuru) aur iste'aanat (madad talab karna) hai
shuru karna zeyada monasib hai , is liye ke hadison se is tarjume ki taeid hoti hai , hadison me kaha gaya hai ke har kaam allah se shuru karo , lehaza ye kahna 《 shuru karta hun 》kahan se kaha gaya ?
arabi grammar aur tafseer ki ketabon se waqif na hone ki wajah se hai
khoda ki shanakht wa pahchaan aam insaan ke liye mumkin nahi hai , khoda neshaniyon , alamaton aur naamon se pahchana jata hai
insaan ne khubsurati dekhi to samjha ye jamil hai , elm dekha to samjha ye aalim hai , taqat wa qudrat dekhi to samjha ye qadir hai
isi tarah khoda ke sefaat , neshaniyon aur naamo ko dekh kar khoda ko samajhta hai , ye neshaniyan aur naam jis qadr kamil honge ousi qadr khoda ko pahchane ga aur is se nazdikh hoga
is me koiy shak nahi ke 14 masumin (a.s) allah ke naam hain , yani jis tarah naam ke zariye insaan pahchana jata hai ousi tarah masumin (a.s) ke zariye saheb-e- naam yani khoda pahchana jata hai , 14 masumin (a.s) , allah ke sabse bade naam (ism-e- aazam) hain , insaan in se jitna nazdikh hoga ousi qadr khoda ki marefat hogi aur is se nazdikh hoga , jo in ke zariye se khoda ko na pahchane ous ko hargiz hargiz khoda ki marefat nahi ho sakti , amirul momenin Ali (a.s) ke beghair insaan taouhid samajh hi nahi sakta , haqiqi mowah'hid ko samajh ne ke liye hazrat Ali (a.s) , mizaan , meyaar aur kasaouti hain
*asl taouhid " bismillah " ke " be " me hai , is liye ke agar " be " ka matlab ibteda ya isteaanat ... manen tab bhi ruh-e- taouhid ka moshahada karen ge , is liye ke hazrat Ali (a.s) wo noqta hain jo ba-e- " bimillah " ke niche hai , baad-e- rasul aap khoda ko eak manne wale pahle shakhs hain*
*jis tarah " be " beghair noqta ke be mani hai , isi tarah Ali (a.s) ke beghair islam wa deen be mani wa beghair mowah'hid ke hai*
rahmaan wa rahim , allah ki makhsus sefat wa naam hai , lehaza khoda ke aelawah kisi aur ko rahmaan wa rahim kahna sahih nahi hai jo hazrat Ali (a.s) ko rahmaan wa rahim kahe wo khud maoula ka dushman hai , is tarah ki baten logon ko Ali (a.s) se dur karti hain aur shion ko bad naam
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari khadime edara-e- darul etrat Azim abad / Patna shobae sawalat Qum / Iran
NOTE :-
Jin hazraat ko agar apna koi sawal karna hai to diye hue whatsapp number pe apna sawal kar sakte hain
Whatsapp number :- +98 935 413 9640
25 / ذی الحجہ / 1438 ھ.ق
No comments:
Comment