Sawaal az : .....
Salamun alaikum
ﺇِﻥَّ ﺃَﻭَّﻝَ ﺑَﻴْﺖٍ ﻭُﺿِﻊَ ﻟِﻠﻨَّﺎﺱِ ﻟَﻠَّﺬِﻱ ﺑِﺒَﻜَّﺔَ ﻣُﺒَﺎﺭَﻛًﺎ ﻭَﻫُﺪًﻯ ﻟِّﻠْﻌَﺎﻟَﻤِﻴﻦَ
Quran me saaf taur pe kaha gaya hai ki khuda ke ebadat ke liye sabse pahla bait (house) kaba bana.
Aur maine padha hai ki kaba Janabe Adam a.s ne hi taamir kiya tha fir tufaane nuh me shahid hua fir Janabe Ibrahim a.s ne taamir kiya.
Phir sawal ye uthta hai ki tufaane nuh me sirf wo cheezen gharq hui jinhe khuda ki wahdaniyat se inkaar tha.
- Phir kaba kaise shahid hua ?
- Baitul muqadas ki kya hadis hai kab bana ye ?
Thoda ispe details me wazahat karen
Jawaab:
Alaykum assalam wrwb
- kaaba ko banaane waala kaun hai ?
- Tufaane Nuh me kaaba kharaab huaa ya nahi ?
- at'tibyaan - jild 7 - safha 311(tafseere surah'ae haj)
- majma'oul bayaan - jild 7 - safha 111 (tafseere surah'ae haj)
- Baitul moqaddas kab bana ?
- baaz mowarrekheen ne likha hai ke kaabe ki taameer ke 40 saal baad baitul moqaddas banaaya
- mash'huro maaruf aur qaabile taa'eid nazariae ke motaabiq khoda ke hukm se Janaabe Daawud ne banwaane ka kaam shuru kiya, aap peer wa za'eif the, kaam karwaana aap ke liae mushkil tha lehaaza khoda ne hukm diya ke ye kaam apne farzand, Soleymaan ke supurd kar do, is lehaaz se is ki taameer ka aaghaaz Janaabe Daawud ne kiya aur takmil Janaabe Soleymaan ne ki, ye kaam taqriban Janaabe Masih ki welaadat ke 970 saal pahle huaa
baaz kahte hain Janaabe Aadam ne banaaya aur baaz kahte hain Janaabe Ibraahim wa Ismaa'eil ne banaaya
aayaate qur'aan, rewaayaat aur motabar taarikh se saabit hai ke Janaabe Aadam ne banaaya "Surah'ae Ibraahim aayat 37, Aale Imraan aayat 96, Baqarah aayat 127" se saabit hota hai ke Janaabe Aadam ne banaaya
aur Nahjul balaaghaah me Amirul Momenin (a.s) ka maaruf khutbah qasea (192) me bhi hai ke Janaabe Aadam ne bunyaad rakhi
mokhtasar ye ke ba hukme khoda kaaba ke baani Janaabe Aadam hain aur ba hukme khoda Janaabe Ibraahim wa Ismaa'eil new taameer karne waale hain
is ta'alluq se bata dun ke :
saari zamin gharq ho gaei lekin kaaba mahfuz raha "Surah'ae Haj aayat 29" me "Baite Atiq" kaha gaya hai
atiq (qadim ghar) kahne ki aek tafseer yahi hai ke tufaan me kaaba gharq wa kharaab hone se mahfuz raha
Sirf 2 qadimi shia tafseer ka hawaala :
tufaane nuh azaabe aelaahi tha is liae chand maqaamaat jaiyse sar'zamine karbala aur khaana'ae kaaba ko khoda ne is se mahfuz rakha albatta taarikh ke motaabiq khaana'ae kaaba baarish waghairah se mota'assir huaa hai lehaaza agar is se kaaba kharaab ho gaya to is surat me koei mushkil nahi hai, khoda ne dunya ka nezaam wa system aiysa hi banaaya hai, masalan agar saiylaab aay to is me moqaddas aemaaraten bhi kharaab hon gi
kaaba se afzal wa bartar Rasule Geraami aur Imaamon ki zaat hai
aap hazaraat bhi mariz hote the, mosibaton ka saamna karna padta tha, jab aap hazaraat ke saath aiysa tha to kaaba ke saath bhi ho sakta hai
khoda har kaam wa mushkil mojeze ke zariae hal nahi karta, agar aiysa ho to insaanon ka kamaal wa hunar kis baat par hoga
har jagah nahi balke baaz aiysi jag'hon par mojeze ke zariae hefaazat karta hai, jahaan deen khatre me ho Abraha ke lashkar se kaaba aur deen ko khatra tha lehaaza ous waqt Ababeel ke lashkar ke zariae ous ko naabud kiya (Surah'ae Feel)
baarish waghairah se kaabe ki takhreeb se deen ko khatra nahi tha
Janaabe Masih ki welaadat ke pahle mokhtalif Ambiya ne is ki new taameer karaa'ei
[taarikhe orshaleem (اور شلیم) safha 76 wa 78 - mo'allif syed jaafar hamidi - naashir amir kabir]
Note :
Baitul moqaddas ko masjide aqsa bhi kahte hain
aqsa kahne ki wajah ye hai ke masjidul haraam se is ki duri bahot hai
Rasule Gerami ki jismaani meraaj yahin se huei
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim abad / patna shobae sawalat Qum / iran.
24 / ذی الحجہ / 1438 ھ.ق