Sawaal az:-.............
Salaamun alequm
Janab me apse ek maslaa janna chahta tha kii ek ldki hai uski shadi 18 sal ki umar men huii thii jis ldke se hui wo us ldki ko mantelly or physically bht takleef deta tha ldki ne usse divorce le liya usse use do bache b hue jo abhi 7 or 8 sal k hain kuch waqt ldki bht preshan rahi bht kuch hua uski zindagii men kuch waqt bad usse ek ldka facebook pr mila jisse uski bat hone lgii ladke ko us ldki se mohobat ho gyi usne ldki ko sab btaya to ladki ne apni puri kahni usse btyi wo bht preshan ho gya kuch din bhot socha fir usne faisla liya ki wo usse shadi kre ga lekin wo ye baat apne ghar pe btane ki himt nhi kr para hai lekin ladki k ghar walo ko btane se koi etraz nhi hai ladki k ghar par uski bhai bhen maan ko maloom ho gya h walid hain inteqal ho chuka hai ab dono shadi krna to chahte hen lekin ldka kehta h ki men tumare bad ek or shadi kru ga apni maan ki marzi se q ki wo apni maan ko bhot izzat krta hai or uneh tkleef nhi dena chahta h or naa bta para hai kuch or kehta h ki men tumari sari zimmedari puri kru ga
Lekin ladki sb smjhne k bad b khud ko tayyar nhi kr pa rahi dusri shadi k liye ladke ki
Or ladki ladke se 2, 3, sal badi b hai
Ese men ladke k ghar wale razii b nhi hon ge to is liye wo nhi bta para
isi wjha se use dusri shadi krni pade gii to ab ladki kiya kre ap hi btayen plzz madad kren
Khuda Hafeez
jawaab:-
alaykum assalam wrwb
pahle jo shadiyan hoti thin ous ka tariqa ye tha ke buzurg hazarat chhaan been aur parakh kar jahan behtar samajhte the karte the , is liye ke in ko zindagi ka tajreba rahta tha , is waqt ham qadimi wa samaaji tariqe se dur hote ja rahe hain aur dunya-e-modern se nazdik hote ja rahe hain jis ki rangini me dhoka hi dhoka aur behayaiy ke elawah kuch nahi
islam aur imamon ne hamesha is baat par zor diya aur takid ki hai ke shadi , aql , samajh aur aagaahi ke sath ho , ye naqabil-e-inkaar haqiqat hai ke facebook ... ke zariye dono eak dusre ko sahih tariqe se nahi pahchan sakte , facebook ... ke zariye jo baten (Chats) rad'do badal hoti hain wo jhut hoti hain aur bohot badha wa chadha kar bayaan ki jati hain
tamam shara'et ko faqat zabaan se qabul kar lete hai lekin dil me hota hai ke baad me is par amal nahi karna hai
facebook aur E-Marrage ... aaqelana aur sach'chi mohabbat me nahi hoti hai balke jazbaat aur shahwat ki masti me hoti hai , 90% se zeyadah facebook wa-ghairah ke zariye shadi ka natija talaaq wa judaiy hai
isliye ke taqriban eak ya do saal baad be etemaadi ki diwaar khadi ho jati hai aur motawajjeh ho jate hain ke sharik-e-zindagi ke intekhaab me ghalati ki hai
is mokhtasar tamhid ke baad batadun ke jo aap ne likha hai is me 2 baton par tawajjoh zaruri hai :
1. maa ka bohot kheyaal hai (ye achchi baat hai) phir is aourat se shadi kar ke maa ko taklif wa aziyat dena keyon chahte hain ? dono baaten eak dusre ki zid hai , isi aourat se shadi karne ke liye maa aur ghar walon ko razi keyon nahi karte ?
2. is aourat ke elawah dusri shadi karna chahte hain , dar waqe asli shadi yehi hogi aur is aourat se (jin ke bare me aap ne likha hai) shadi poshidah hogi
chor ki darhi (داڑھی) me tinka , chor apni harkaat se pahchana jata hai
dil ki baton se khoda aagaah hai lekin in baton ko aur jo kuchh is waqt ho raha hai madde nazar rakhte hue wazeh hai ke ye shadi hawas aur waqt guzar ne ke liye hai , shareek-e-hayat banane ke liye nahi , lehaza behtar hai tamaam raabeton ko khatm kar ke purani yaaden mita den aur is shadi se bachen , jazbaat par control karen
aiysi shadion ke anjaam par tawajjoh karen , ghar wale wa qaribi rishtedaar wa ghairah munasib rishte ki talaash me rahen ,
masumin (a.s) se tawassul karen aur khoda se madad talab karen , makhsusan farshe aza par dua karen , dua qabul hoti hai , na ommid na hon , achcha rishta mile ga aur mushkelaat hal hongi insha allah
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edarae darul etrat Azim abad / patna shoba-e- sawalat Qum / iran
30 / ذی الحجہ / 1438 ھ.ق