Asalamun Alaikum
Sawaal
Aksar zakir Mimber pe se padhte hain ke DAR-E-ZEHRA (sa) Pe Farishte 3 Din lagaataar aaye aur Rotiya le gaye..
Kabhi Garib ban ke
Kabhi Meeskin ban ke
Kabhi Yateem ban ke
Mere Zehan me ye baat baar-baar aati hai ke farishte ne aakhir jhut Q bola?
Wo bhi Dar-e-Sayyeda pe?
Farishto ke Maa Baap nhi hote to wo yateem kaise kaha Apne ko?
Meharbani kar ke mera confusion dur kare..
Wasalam
jawaab:
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
surah-e-dahr (insaan) ki Aayat number 8 me hai khaane ki ashad zarurat ke baawojud miskin, yatim aur asir ko khaana khilaate hain.
is me koei shak nahi ke ye Aayat hazrat Ali (alayhis'salam) janaab-e-Fatemah (alayhas'salam) imaam-e-Hasan wa Hussain (alayhomus'salam) aur janaab-e-Fizzah ki shaan me naazil huei , nazr ki thi ke imaam-e-Hasan wa Hussain (alayhomus'salam) ki sehat yaabi ke baad tin roze rakhen ge
pahle , dusre aur tisre din waqte iftaar miskin , yatim aur asir ko rotiyan de di aur paani se iftaar kiya ...
sawaal ye hai ke sawaali yaani miskin , yatim aur asir farishte the ya insaan?
agar maan-len ke farishte the tab Aap ka sawaal aur baat sahi hai.
in logon ka farishta hona saabit nahi hai bataur-e-dalil wa qarina chand baaten pesh-e-khidmat hain :
(1) Aayaat ka tasalsul wa rabt insaanon ke baare me hai masalan Aayat 1 me insaan ka zikr hai , 2 me hai (ghair az janaab-e-Aadam wa haw'wa) insaan ko makhlut nutfe se payda kiya (farishte nutfe se payda nahi hote ) Aayat 3 me hai ham ne apne raaste ki hedaayat kar di khaah shukr guzaar bane aur khaah naa-shukra
shukr guzaar wa naa-shukra banna ekhteyaari Amal hai ye insaanon se marbut hai. farishte saaheb-e-ekhteyaar nahi hain inke liae sirf ek hi raasta hai, wo hai Aeta'at.
Aayat 5 me Abraar yaani nek log ka zikr hai ( ye bhi insaan hi se marbut hai isliae ke farishte bure nahi hote).
Aayat 6 me Aallah ke bandon ka zikr hai (abd insaan hote hain farishte nahi).
Aayat 7 me hai jo nazr puri karte hain ... ( insaan nazr karte hain farishte nahi ).
Aap ne molaaheza farmaaya ke ye saari Aayaten insaan se marbut hain is ke baad miskin , yatim aur asir ka zikr hai
Aayaton ka rabt wa seyaaq bata raha hai ke miskin , yatim aur asir bhi insaan hi hain farishte nahi hain isliae ke in Aayaton me kahin farishton ka zikr nahi hai.
baad ki Aayat bhi insaan se marbut hai
(2) farishton ko maaddi khaane ki zarurat nahi hoti insaan khaana khaata hai farishte nahi
(3) jab ham miskin , yatim aur asir ke matlab par tawajjoh karten hain to maalum hota hai ke agar inse moraad farishte hon to ye zaahir-e-Quran ke barkhelaaf hai aur inka matlab farishton par durust wa saadiq nahi Aata.
miskin :-
mash'hur taarif ke motaabiq miskin wo hai jis ke paas kuch na ho maali wa Aeqtesaadi lehaaz se iski zindagi faqir se badtar ho (farishte miskin nahi hote )
yatim :-
ous na baaligh bachche ko kahte hain jis ka baap guzar gaya ho (farishton ke baap nahi hote) ( Aalbatta jaanwaron me yatim ous bachche ko kahte hain jis ki maa mar gaei ho).
asir :-
mash'hur tafsir wa taarif ke motaabiq wo hain jo kuffaar wa mushrekin se jang ke dar-meyaan musalmaanon ke zariae asir hue (maajra tafsili hai , rasul-e- khoda ke zamaane me is waqt ki tarah jail (qaiyd-khaana) nahi thi lehaaza rasul-e- khoda ne asiron ko musalmaanon ke hawaale kar diya tha ta ke in ka kheyaal rakhen , jab musalmaan (mezbaan) kharch nahi chala paate the to dusre musalmaan in ki zarurat puri karte the ...)
zaahir hai farishte , asir nahi ho sakte
(4) haqir ne shia wa sunni ki baaz mash'hur-o-maaruf wa qadimi tafsir ki ketaabon me dekha , is me mujhe nahi mila ke Amirul momenin Ali (alayhis'salam) ke dar par sawaali ban kar aane waale miskin , yatim aur asir farishte the
shia tafsir :-
majmaoul bayan
at'tibyaan
saafi
...
sunni tafsir :-
fakhr-e-raazi
ma'aal-e- mut'tanzil al-maaruf ba baghawi
...
albatta baaz sunni ketaabon me hai ke pahle din sawaali ban kar janab-e- jibrāil aae , dusre din mikāil aur tisre din israafil , aur baaz ketaabon me hai tino din janab-e- jibrāil aae
Note :
in aayaton me ahl-e bait-e-rasul aur janaab-e-fizzah ke eisaar aur aekhlaas ka zikr hai ye hamaare liae dars wa sabaq hai hatta kuffaar-o-mushrekin asir hon to in ka bhi khayaal rakhna zaruri hai , ba nam-e-islaam wa rasul kisi par zulm nahi kar sakte
is surah me maqaam-e-Abraar ko bataaya gaya hai , ahl-e-bait-e-rasul ki aakheri fazilat ko nahi , maqaam-e-ahl-e-bait , maqaam-e-Abraar se baala tar hai , agar maan len ke is me ahl-e-bait ki aakheri fazilat ko bayaan kiya gaya hai to ahl-e-bait aur janaab-e-fizzah me farq nahi rahe ga is liae ke shaan-e-nozul me janaab-e- fizzah bhi sharik hain lehaaza miskin , yatim aur asir ko insaan maane ya farishte farz kar len asl waaqe'aa wa fazilat par farq nahi padne wala.
bahar haal ye aayaten aap hazaraat ki shaan me naazil huin , is me aap ke eisaar aur aekhlaas ko bataaya gaya hai.
dar-e-ahl-e- bait-e-ismat-o-tahaarat par farishton ka aana dar haqiqat aap hazaraat ke liae baa'es-e-fazilat nahi balke farishton ke liae baa'es-e-iftekhaar hai ke aap ke dar par aaen aur khidmat karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim abad / patna shoba-e- sawalat Qum / iran
5 / محرم / 1438 ھ.ق
Subscribe my channel
Subscribe my channel