sawaal az: ......
Salamun alaikum wrb.
Sawal :-
IVF ( test tube babby) ke zariye agar oulaad hasil ki jai to jayaz hoga.
Ans:
w.salam wrwb
is ke zariae aulaad haasil karne ke mokhtalif tariqe wa shaklen raa'aej hain oun me se aham 2 tariqe wa suraten hain :
1. shauhar ka nutfah, jarsume ( sperms) aur biwi ke beyze (ovum ~ eggs) ke zariae bach'cha payda kiya jaa'ae to bach'cha halaali wa jaa'aez hai
2. shauhar wa biwi nahi hain balke dusre mard ke jarsume (sperms) aur dusri aurat ke beyze (ovum ~ eggs) le kar milaap kar ke bach'cha paida kiya jaa'ae to is surat me bhi bach'cha halaal zaadah wa jaa'aez hai is ko zena zaadah nahi kaha jaa sakta is liae ke is kam par zena ka hukm jaari nahi hoga aur jis ka nutfah wa jarsume wa bayze hain ous ka bach'cha hoga is bach'che par nasab ke tamam Aahkam jaari honge.
w.salam
syed shamshad ali katokhari
khadime edaara-e-darul itrat azim abad / patna - shobae sawalat Qom/iran
۔13 / ذی الحجہ / 1438 ھ.ق
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment