Sawaal az : .....
Salamun alaikum wrb
Sawal
white gold sona nahi hai to Pahenna kyu jaiz nahi hai ?
Jawaab :
jo chiz sona hai ous ka istemaal mardon ke liae haraam hai, masalan gale me sone ki zanjir latkaa'aen ya sone se bani anguthi ya ghadi ya chashma ... istemaal karen to haraam hai aur in ke saath namaaz padhen to namaaz baatil hai
sona laal ho ya pila ya safed, in me farq nahi hai, mardon ke liae in ka istemaal haraam hai aur in ke saath namaaz padhen to namaaz baatil hai
sone ke specialist se puchhen ke safed gold sona hai ya nahi ? agar sona hai to mardon ke liae istemaal haraam hai aur is ke saath namaaz padhen to namaaz baatil hai aur agar sona nahi hai to istemaal haraam nahi hai aur is ke hamraah namaaz bhi baatil nahi hai
hamaari ittela ke motaabiq safed gold sona hai
Note :
- platinum sona nahi hai lehaaza is se bani huei chiz mard istemaal kar sakte hain, haraam nahi hai aur is ke hamraah namaaz padhen to baatil nahi hai
- agar mard ko nahi maalum ya bhul jaa'ae ke is ki anguthi ya kapde etc sone se bane hain ya shak hai ke ye sona hai ya nahi aur is ke saath namaaz padhe to tino suraton me namaaz sahih hai
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna - shob-e-sawaalaat Qum / Iran
7 / شوال / 1438 ھ.ق
No comments:
Comment