Keya namaaz me aayat bhulne pe Ali (a.s) ka naam lena sahi hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, July 7, 2017

Keya namaaz me aayat bhulne pe Ali (a.s) ka naam lena sahi hai ?

Sawaal az : .....


Salamun alaikum wrb


ek din Rasule khuda (s.w) masjide nabawi me jalwa afroz the to Salamaan Farsi ek fars ke rahne waale new muslim ladke (boy) ko lekar tashrif farmaa hue. arz kiya ya Rasullallah (s.w) ye fars ka rahne waala hai aur arabi zabaan se na'waaqif hai isliye ye namaz padhne ke dauraan mushkilaat me pad jaata hai aur aayaten bhul jaata hai jis wajah se namaz me bohot rukawat pesh aati hai aur baatil ho jaati hai. to Rasullallah (s.w) ne farmaya aye farsi jawaan agar namaz me aap koi harf bhul jaao to is harf ke jagah Naame Ali (a.s) liya karo agar mokammal aayat na aaye to bas Ali (a.s) ka zikr har ebaadat ko mokammal kar deta hai.


Sawaal :


Kya ye sahi hai ? ye maine ek group page me padha


Ans :


Alaykum assalam wrwb

is me koei shak nahi ke Hazrat Ali (a.s) ki mohabbat ke beghair imaan, imaan nahi hai. aap ki mohabbat ke beghair islam aiysa hi hai jaiyse jism beghair ruh ke


Zikre Ali (a.s) aebaadat hai, Naame Ali (a.s) isme aazam hai, aap najaat ka zariya hain, aap ki mohabbat ke beghair namaaz aiysi hai jaiyse koei beghair wozu ke padhe, aap se jo bughzo aenaad rakhe ous ka koei amal qabul nahi hoga, ye sari baaten shia wa sunni ki motabar rewaayaat se saabit hain, is me shak karne waala pahle apne wojud me shak kare


is mokhtasar tamhid ke baad bataa dun ke is rewaayat se jo baat mere naaqis zehan me aaei hai wo ye hai ke is me 2 motazaad wa bar'aks baaton ka zikr hai :


  1. ahle fars hai yaani arab nahi hai lehaaza arabi se naa'waaqif hai yaani arabi nahi aati hai

  2. aayaat ko bhul jata hai

Sawaal :


kaun bhulta hai ?


jis ko aayaat padhna aati hon, jis ko aayat padhna aati hi nahi wo kiya bhule ga


dusre ye ke agar maan len ke ous ko surah padhna aata hai lekin namaaz me bhul jaata hai to ye rewaayat oun tamaam motabar rewaayaton ke bar'khelaaf hai jis me is tarah ke logon ke liae bataaya gaya hai ke namaaz kaiyse padhen, kisi motabar hadis me nahi hai ke jo harf ya aayat bhul jaa'ae ous ki jagah Naame Ali (a.s) le le


ye rewaayat motabar nahi hai, aiysa lagta hai ke dushman ke kaar'khaane ki paida'waar hai taa'ke shi'on ko badnaam karen


Note :


fiqh me bataaya gaya hai ke jis ko surah padhna nahi aata, ous par waajib hai ke namaaz ke liae sikhe ya ba'jamaa'at namaaz padhe, agar ye momkin nahi hai to jis tarah padh sakta hai ousi tarah padhe


tafsil kisi motabar aalime deen se puchh len ya tauzihul masaa'ael dekh len


w.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran


13 / شوال / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen