keya menhdi (rang) lagaana sirate maasumeen hai ? | maula keyaun nahi lagaate the | aurat shauhar ke liae ladki rishte aane ke liae khezaab lagaa'ae | kaun sa rang behtar hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, July 14, 2017

keya menhdi (rang) lagaana sirate maasumeen hai ? | maula keyaun nahi lagaate the | aurat shauhar ke liae ladki rishte aane ke liae khezaab lagaa'ae | kaun sa rang behtar hai ?

Sawaal az : .....


Salamun alaikum


Sawal :
Mera ek sawaal hai... ke kya ourten jis tarha haathon me mehandi (Hena) lagaati hain to kya pairo me bhi laga sakti hain... ? Q ki bade buzurgon se sunti aa rahi hoon ke Rasule khuda (s.a) apni dadhi mubarak me lagaate the to ise pairon me nahi lagaani chahiye... halanki is ka jawaab hamne bahot saari kitabon me dhundhne ki koshish ki but mujhe nahi mila... to plz aap iska jawaab den ke kya sahi hai....


Shukriya


Jawaab :


w.salam wrwb


laga sakti hain. hamaare buzurgon ki aksar baaten sahi hoti hain lekin ye kahna ghalat hai jo menhdi pairon par lagaa'ei jaati hai agar ye wahi menhdi hoti jis ko Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) ne lagaa'ei thi to buzurgon ka kahna sahi hai is liae ke be'aehteraami hogi lekin jo menhdi lagaa'ei jaati hai wo menhdi nahi hai jo Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ke mobaarak sar wa daadhi (داڑھی) par lagi thi. agar is baat ko maan len to paani se bhi pairon ko nahi dhona chaahiae is liae ke Rasule Geraami (صلى الله عليه وآله) nahaate bhi the paani se sar wa daadhi (داڑھی) bhi dhote the.


Menhdi ke ta'alluq se qadre tafsil :


Rasule khoda aur Imaamo (سلام الله علیھم) ki sunnat wa sirat khezaab lagaana hai sirf Amirul Momenin Ali (علیه السلام) khezaab nahi lagaate the. rewaayaat me is ki 2 wajah bataa'ei gaei hai :


  1. Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne aap se farmaaya tha : tumhaare sar ke khun se tumhaari daadhi (داڑھی) rang'gin hogi (yahi khun khezaab ho ga) maula is khezaab ka intezaar kar rahe the.

  2. khud Amirul Momenin (علیه السلام) ne farmaaya : main is liae khezaab nahi lagaata hun ke abhi tak Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ke gham me azaadaar hun.

  3. ye bhi kaha jaata hai ke apni jawaan sharike hayaat yaani Hazrat Faatema Zahra (سلام الله عليها) ki mazlumaana shahaadat ke baad sog me the is liae sar aur daadhi ke baalon ko khezaab nahi lagaate the



mardon ke liae sunnate mo'akkad hai ke sar wa daadhi (داڑھی) ke baal rang karen lekin haath aur pair par khezaab (menhdi) lagaana makruh hai magar mokhtasar lagaana (makruh nahi hai). baaz hadis me makruh hone ka sabab ye bataaya gaya hai ke auraton se shabaahat ho jaati hai lehaaza shaadi wa ... me tark behtar hai
aurton ke liae sunnat (mustahab) hai ke sar ke baalon, haath aur pair par khezaab (menhdi) lagaa'aen.


Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) aurton ko hukm dete the ke apne baalon par khezaab lagaa'aen agar shauhar'daar hain to shauhar ke liae aur agar shauhar'daar nahi hai to is liae lagaa'aen ke rishte dene waale zeyaadah hon.


rewaayaat me aeshaarah huaa hai ke khezaab lagaana nure islaam wa eimaan hai, sunnat wa Rasul (صلى الله عليه وآله) ka hadiya wa tohfa hai


Note :


  1. khezaab yaani rang karne ki dawa

  2. hadis me hai ke Rasule Khoda wa Imaam (سلام الله علیھم) zeyaadah tar hena se bana khezaab lagaate the is ki wajah shaayad ye ho sakti hai ke ous waqt baalon par rang karne ke liae zeyaadah tar hena hi istemaal ki jaati thi lekin is waqt rang karne ke liae hena jaiysi bahot saari chizen maujud hain.

  3. rewaayaat ke motaabiq baalon par khezaab lagaane ke liae sab se behtar rang kaala (black) hai is ke baad laal phir zard (pila)

  4. khezaab lagaane ke bohot saare faa'aede hain baaz rewaayat me 14 khaasiyat aur faa'aede ka zikr hai.

  5. behtar hai niche di gaei surkhi par click kar ke dusre jawaabaat ko bhi molaaheza farma len

    1. Menhdi lagaane ke baad keya wozu aur ghusl sahih hai ?

    2. make-up ke saath auraton ke liae wozu aur namaaz ka hukm

W. Salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul Itrat Azim Abaad Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


20 / شوال / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen