Baarish ke paani | chhinton ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, July 12, 2017

Baarish ke paani | chhinton ka hukm

Sawaal az : mohtaram janaab Abbas Rizvi Sb. (Mumbai)


Question :


Salamun alaikum
ham Abbas Rizvi Mumbai se


hamare dost ka sawal hai ke two wheeler chalte waqt road gila (wet) hone ki wajah se jo gaadi se chhitte (rozana barish ke mausaam me hota hai) padte hai, kya uss halat me namaz padhi jaa sakti hai ?
Plz iss masle ko detail me bataye


Shukriya
Wassalam.


Jawaab :


W. Salam wrb

baarish ki wajah se road gili ho jaati hai aur ous par ya ous ke kenaare mokhtasar paani bhi jama ho jaata hai. agar ye paani ya gili khaak paak hai aur badan wa lebaas par lag jaa'ae to ous par namaaz padh sakte hain lekin agar najis hai masalan ous jagah koei najis chiz ya kutte ya kafir ka pair ... lag jaa'ae to wo najis hai lehaaza badan wa lebaas par lag jaane ke baad namaaz padhne ke liae oun ka paak karna zaruri hai ya dusra paak lebaas pahen kar namaaz padhe.


dusri surat ye hai ke baarish ho rahi hai (yaani barish ka silsila jaari hai) aur baarish ka paani road etc par jaari hai to is surat me jahaan bhi baarish ka paani jaari hai wahaan ka paani wa gili khaak paak hai agar jism wa lebaas par lag jaa'ae to is par namaaz padh sakte hain.


Note :


najis khaak ous waqt paak hogi jab baarish ka paani ous ke tamaam ajzaa (hisse) tak pahonch jaa'ae


W. Salam


Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna shob-e-sawaalaat Qom / Iran


18 / شوال / 1438 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen