Sawaal az:............
Assalmo alaikum-rehmatullahe wa-barakatahu
Janaab ek sawaal tha jispe aapki tawajjo chahiye thi.
Que:- I need to know about the difference between (Razi Allah tala) (ra) and (Alaihisalam) (as)
We normally write and say Hazrat Ali (as) but some peoples say it as (ra) the fact behind it is they say Hazrat Ali waz a sahabi (R.A).. not a messenger(AS)
Khoda aapko sehat-o-salamati ata farmaye
Iltemas e DOA
Syed Abrar Hussain
Azimabad patna
Jawaab
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهrazeyallah anho yaani khoda oun se raazi ho aur alayhis'salaam yaani oun par salaam ho
jo gunaah gaar hota hai ya gunaah kar sakta hai to ous ke liae razeyallah istemaal hota hai jo khoda se raazi ho aur khud khoda ous se raazi ho to ous ke liae razeyallah anho nahi kaha jata hai, alayhis'salaam aam taur par oun logon ke liae istemaal hota hai ya oun se makhsus ho gaya hai jo gunaah gaar nahi hai jaise ambiya aur ahl-e-bait-e-rasul-e-khoda
isi wajah se bahot saare sunni olama hazrat Ali ke naam ke baad karramallah waj'ha ( khoda ne unke chehre ko buzurgi wa eizzat di ) istemaal karte hain aur saare as'haab ke liae razeyallah anho
is liae ke khud ye olama qabul karte hain ke hazrat Ali ne kabhi koei gunaah nahi kiya, sharaab nahi pi aur qabl az islaam bhi kabhi buton ko sajdah na kiya balke buton ko kharaab kiya
hazrat Ali aur ahl-e-bait-e-rasul ke naam ke baad alayhis'salaam kahne ya likhne par dalil
baaz sunni imaam Ali aur ahl-e-bait-e-rasul ke naam ke baad alayhis'salaam kahna wa likhna pasand nahi karte lehaaza inhi ki motabar ketaabon se sirf chand dalil peshe khidmat hai :
1- surah-e-ahzaab aayat 56 me hai : allah aur ous ke farishte yaqinan nabi par dorud bhejte hain, ay imaan waalo tum bhi oun par dorud wa salaam bhejo jaise salaam bhejne ka haq hai.
is aayat se marbut tafsili bahas hai lekin bataur-e-mokhtasar arz kar dun ke is aayat me 2 chizon ka hukm diya gaya hai :
(1)- nabi par dorud
(2)- in par salaam
jab ye aayat naazil huei to kaab ne rasule khoda se kaha : ay rasule khoda aap par salaam kaise bheja jaae ye to maalum hai lekin aap par dorud kaise bhejen ? to paighambar-e-akram ne farmaaya kaho ay khoda mohammad wa aal-e-mohammad par dorud bhej ... "
molaaheza farmaaen rasul-e-khoda ne apne baad apni aal par bhi dorud bhejne ka hukm diya hai mazkurah aayat me dorud wa salaam bhejne ka hukm aek saath diya gaya hai lehaaza jis tarah rasul-e-akram par dorud wa salaam bhejne ka hukm hai ousi tarah aap ki aal aur ahl-e-bait par bhi dorud wa salaam bhejne ka hukm hai, dorud wa salaam me ahl-e-bait-e-rasul aap ke sharik hain lehaaza aap se juda nahi kiya ja sakta, juda karna bahot badi kheyaanat hai
2- surah-e-saaf'faat aayat 130 me hai : "aal-e-yaasin par salaam ho"
aal-e-yaasin se moraad "aal-e-mohammad" hain
is aayat me bhi aal-e-rasul par salaam bheja gaya hai. kisi bhi nabi ki aal par dorud wa salaam bhejne ka hukm nahi diya gaya hai
3- ahl-e-sunnat ki bahot saari ketaabon me imaamon ke naam ke baad alayhis'salaam likha hai aur janaab-e-zahra ke naam ke baad alayhas'salaam istemaal hua hai sirf 2 ketaabon ka hawaala kaafi samajhta hun :
(1)- sahih bokhaari me is tarah likha hai "... faatemah alayhas'salaam ..."
(2)- imam Ali ke baad likha hai "alayhis'salaam"
in ke elaawah bhi bahot saari dalilen hain jin se saabit hai ke aal-e-rasul ke naam ke baad dorud wa salaam bhejna chaahiae. mohkam sobut wa shawaahid ke motaabiq saqifah me rasul-e-khoda ke naam ke baad aal-e-rasul par dorud wa salaam ko mita diya gaya
jo bayaan kiya gaya oun ko madde nazar rakhte huae ye kahna bilkul ghalat hai ke alayhis'salaam sirf mursalin ( messengers ) ke naam ke baad kaha jata hai. hazrat Ali aur ahl-e-bait-e-rasul ke naam ke baad nahi kah sakte.
as'haab par dorud wa salaam bhejne ka hukm nahi hai lekin ahl-e-bait-e-rasul par bhejne ka hukm hai, dusre ye ke hazrat Ali sirf sahaabi nahi hain balke ahl-e-bait-e-rasul me hain, qur'aan ke motaabiq nafs-e- rasul bhi hain
imaam Ali ke naam ke baad shia alayhis'salaam kahte hain is ka matlab hargiz ye nahi hai ke ham hazrat Ali ko rasul samajhte hain
beshumaar dalil ke baad baaz sunni hamse na kahen ke aap imaam Ali ke naam ke baad alayhis'salaam keyon kahte hain balke aap bataen ke aap keyon nahi kahte hain ?
kholaasa'ae kalaam :
jo kahte hain ahle baite rasul ( صلى الله عليه وآله ) ke naam ke saath alayhis'salaam / alayhemus'salaam likhna wa kahna "rawaafiz = روافض ( shion ) aur ahle bid'at ka she'aar hai
agar aiysa hai to bokhaari aur sunni bhaaeiyon ke dusre bade bade mohaddesin ... bhi shia aur ahle bid'at hain is liae ke oun logon ne ahle baite at'haar ke liae alayhis'salaam / alayhemus'salaam likha hai
dusre ye ke ahle baite rasul ( صلوات الله عليهم ) ke aelaawah musalmaano ne kabhi bhi kisi ke liae alayhis'salaam istemaal nahi kiya lekin is waqt baaz kath'mulla ayre ghayre ( ایرے غیرے ) ke naamon ke saath alayhis'salaam ya alayhas'salaam bol rahe hain !!!
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat Azim abad / patna shobe sawalat Qum / iran
10/ رمضان المبارک /1438 ھ.ق
Subscribe my chanel