Qaza-e-umari kis se naqal ki gayi aur dalil Kya hai? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, June 23, 2017

Qaza-e-umari kis se naqal ki gayi aur dalil Kya hai?

Q.s from katokhar / chapra (saran)


Salamun alaikum


Ek sawaal hai. Shab-e-qadar me jo ham qaza-e-umri ki namaazen padhte hain iske bare me kya kahna hai aur ye hadis kis se naqal ki gai hai aur dalil kya hai
Mai aapke jawaab ka taalib hun


Jawaab :


Alaykum assalam wrwb

Qaza'ae umri ka jo matlab baaz log samajhte hain yaani shabe qadr me 6 din ki namaaz padh li to tamaam oumr ki qaza namaazen adaa ho ga'ein is tarah se kisi hadis waghairah me nahi milta hai insaan ki oumr me jetni namaazen qaza huei hain sab ko padhna zaruri hai


Shabe qadr me jetni namaazen padhi hain sirf usi qadr adaa hogi


W.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shob-e-sawaalaat Qum / Iran


[11 / 7 / 2015]

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen