Q.s from janab Nasir zaidi Sb.
Asalamo alaikum
Namaaz ke mutalliq sawaal hai ke jab safar start karen to namaaz ka waqt na huwa ho jab manzil par pahunchen to namaaz qaza ho chuki ho to airoplane me namaaz padhen and kis tarah padhen
Jawaab :
Jo ham samjhe hain 2 sawaal hai :
- safar me namaaz qaza ho gaei to ous ko kis tarah padhen
- jahaaz me namaaz kis tarah padhen
jawaab - 1 :
jis tarah safar me padhne ka hukm hai ousi tarah qaza ki niyat se padhen 4 rak'at waali namaazon ko 2 rak'at hi padhen chaahe dauraane safar padhen ya ghar pahonch kar
jawaab - 2 :
namaaz ke sharaa'aet me se aek shart qibla ru hona hai dusri shart be'harkat hona hai yaani namaaz padhte waqt jism saakin rahe
agar in dono sharton aur dusre sharaa'aet ke motaabiq namaaz padhen to sahih hai agar sharaa'aet ke motaabiq padhna mumkin nahi hai to jahaaz se utarne ke baad padhen
sawaal :
agar waqt tang ho yaani jab jahaaz se outren gen to namaaz qaza ho jaa'ae gi is surat me keya karen ?
jawaab :
is surat me jism ka be'harkat hona shart nahi hai jis tarah bhi mumkin hai ousi tarah namaaz padhna waajib hai
qibla ke ta'alluq se jawaab ye hai ke agar khud aap ko qibla ki samt maalum hai to ousi taraf rukh kar ke padhen is liae ke aap ka yaqin aap ke liae hujjat hai
sawaal :
qibla maalum hai aur qibla ru namaaz padh rahen hain lekin jahaaz dusri taraf ghum gaya to keya karen ?
jawaab :
qeraa'at aur zikr rok kar qibla ru ho jaa'aen phir baaqi qeraa'at wa zikr padh kar namaaz mokammal karen agar bataure kaamil qibla ru nahi ho sakte to koshish karen 90 degrees se zeyaada qibla se na phiren
agar qibla nahi maalum to air hostess se puchh kar padhen is liae ke oun ke kahne se zeyaada tar itminaan wa yaqin ya zan wa gumaane ghaalib haasil ho jaata hai bahar'haal jis samt ke baare me aap ko zan wa gumaane ghaalib haasil ho jaa'ae ke qibla ous taraf hai to ousi taraf rukh kar ke padhen
agar zan wa gumaane ghaalib bhi haasil nahi huaa to aap ki samajh (gumaane zaeif wa kamzor) me jidhar qibla ho sakta hai ousi taraf rukh kar ke padhen
qibla ki samt maalum karne ke ta'alluq se agar koei bhi surat mumkin nahi to behtar hai chaaro taraf rukh kar ke padhen agar ye bhi mumkin nahi to kisi aek taraf rukh kar ke padh len is surat me qibla ru hone ki shart saaqit ho jaa'ae gi
baaqi tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len
w.salam
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna shobe sawaalaat Qum / Iran
8 /جمادی الثانی/ 1438 ھ .ق
No comments:
Comment