Allah haafiz aur khudahafiz ka farq - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, June 22, 2017

Allah haafiz aur khudahafiz ka farq

Sawaal az : .....


Salamun alaikum wrb Molana


Allah haafiz kahna aur khuda haafiz kahna dono ka fark Bataiye

Kyu ke aksar wahaabi aur dusre musalman Allah haafiz kahte hain


Jawaab :


alykum assalam wrwb


Allah arabi ka lafz hai ye khoda ka makhsus naam hai is me tamaam khubiyan jama hain is liae ke khoda ke jetne naam hain us me aek sefaat ki taraf aeshara hai masalan raaziq se sirf rizq dene wala samajh me aata hai lekin Allah me tamam kamaalaat aur sefaat-e-jalaal wa jamaal jama hain khoda ke aelawah kisi ko bhi Allah nahi kah sakte


lafz-e-Allah kis chiz se bana hai ?


  1. walah (وَلَه) se bana hai is ka matlab hairat hai is ki wajah ye hai ke tamaam moujudaat ki aqlen is ki paak zaat me hairat zadaah aur maat wa mab'hut hain ( is baare me maasumin (a.s) se hadisen bahot hain )

  2. (ya) elah (اِله) se bana hai is ka matlab hai sirf aur sirf maabud ( jis ki aebaadat ki jaa'ae ) khoda hai

kasrate istemaal aur likhne wa kahne me aasaani ki khaatir Allah kahte hain


Khoda faarsi wa urdu ka lafz hai ye do chizon se bana hai :


khud-aa- ( خود- آ ) yaani khud hi aane waala aur maujud hone waala ye taqriban wahi waajebul wojud ( واجب الوجود ) hai yaani ye zaat apne wojud me kisi ki mohtaaj nahi is ka wojud zaruri wa laazemi hai aur adam mohaal


kasrat-e-istemaal aur aasaani ki wajah se khud-aa ( خود- آ ) se khoda ( خدا ) ho gaya


jo bayaan kiya is se maalum hua ke Allah arabi lafz hai aur khoda faarsi wa urdu ka. faarsi wa urdu me Allah hi ko khoda kahte hain lehaaza aek dusre se rokhsat hote waqt Allah haafiz yaa fi'aamaanillah ( اللہ حافظ / فی اَمان الله) kahen yaa khoda haafiz koei haraj nahi dono sahih hain bas farq ye hai ke aek hai arabi aur dusra faarsi aur apni maadari zabaan yaani urdu me hai


agar wahaabiyon ko faarsi wa urdu se nafrat hai to apni maadari zabaan tark kar den is me baaten bhi naa karen



w.salam


Syed Shamshad Ali Katokhari

khadime edaara-e-darul itrat Azim abad / Patna shobe sawaalaat Qum / Iran


۔17 / جمادی الثانی / 1438ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen