keya ghair syed ka fitrah saadaat ko diya jaa sakta hai ? hatta ghair syed saadaat ka fitrah nikaale tab bhi nahi de sakte ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, June 26, 2017

keya ghair syed ka fitrah saadaat ko diya jaa sakta hai ? hatta ghair syed saadaat ka fitrah nikaale tab bhi nahi de sakte ?

Sawaal az : .....


Salamun Aalaikum... hum mumbai se hai Agha Sistani ki taqleed me hai aur hamaara sawaal hai ke tauzihul Masaa'ael me point 2017 (English version) me joh zikr hai bare tafseel aur...
kya Syed koi ghair Syed ko de sakta hai fitra ?


Jawaab :


Alaykum assalam wrwb

agar koei syed nahi hai wo syed ko apna fitrah nahi de sakta lekin syed, ghair syed aur syed dono ko de sakta hai


Tawajjoh :


masalan biwi syed hai aur shauhar ghair syed yaa aiysa syed mehmaan jis ka fitrah ghair syed saahebe khaana (mezbaan) par waajib hai in ka (syed biwi wa syed mehmaan) ka fitrah bhi syed ko nahi diya jaa sakta hai (is liae ke fitrah nikaalne waala ghair syed hai, fitrah nikaalne waale ko madde nazar rakha jaa'ae ga ke syed hai ya ghair syed)


Note :


haqiqi islaam me har aek ka haq moaiy'yan hai, masalan syed ke liae sahme saadaat hai to ghair syed ke liae zakaat


W.salam

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Abaad / Patna - shob-e-sawaalaat Qum / Iran


Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen